Ever since I first read this, I’ve
never been able to get past this particular piece.
There’s something about it that I can’t quite lay my
finger on.
*Aa keh vabasta heiN os husn ki yadaiN tujh say
Jis nay is dil ko pari khana bana rakha hai
Jis ki ulfat meiN bhula rakhi thi duniya hum nay
Deher ko deher ka afsana bana rakha hay
Aashna heiN tayray qadmooN say voh rahaiN jin par
Os ki madhosh javani nay inayat ki hai
KaarvaaN guzray heiN jin say osi raa~na~ee kay
Jis ki in ankhooN nay baysood ibadat ki hai
Tujh say khaili heiN voh mehboob havaiN jin meiN
Os kay malboos ki afsurda mehek baqi hai
Tujh pay bhi barsa hai os baam say mehtaab ka noor
Jis meiN beeti hoi raatooN ki kasak baqi hai
Tou nay daikhi hai voh paishani, voh rukhsaar, voh honth
Zindagi jin kay tasavvur meiN luta di hum nay?
Tujh pay uthi heiN voh khoee hoi sahir ankhaiN
Tujh ko maloom hai kiyouN umr gaNva di hum nay?
Hum pay mushtarka heiN ehsaaN ghum~e~ulfat kay
Itnay ehsaaN keh ginvaooN to ginva na sakooN
Hum nay is ishq meiN kiya khoya hai kiya seekha hai
Juz tayray aur ko samjhaooN to samjha na sakooN
Aa jay zee seekhi, ghareebooN ki himayat seekhi
Yaas o hurmaaN kay, dukh dard kay maa~nee seekhay*
[quote]
*Tou nay daikhi hai voh paishani, voh rukhsaar, voh honth
Zindagi jin kay tasavvur meiN luta di hum nay?
Tujh pay uthi heiN voh khoee hoi sahir ankhaiN
Tujh ko maloom hai kiyouN umr gaNva di hum nay? *
[/quote]
bahaar aa_ii to jaise ek baar
lauT aaye hai.n phir adam se
vo Khvaab saare, shabaab saare
jo tere ho.nTho.n pe mar miTe the
jo miT ke har baar phir jiiye the
nikhar gaye hai.n gulaab saare
jo terii yaado.n se mushk_buu hai.n
jo tere ushshaaq kaa lahuu hai.n
ubal pa.De hai.n azaab saare
malaal-e-ahavaal-e-dostaa.N bhii
Khumaar-e-aaGosh-e-mahavashaa.N bhii
Gubaar-e-Khaatir ke baab saare
tere hamaare
savaal saare, javaab saare
bahaar aa_ii to khul gaye hai.n
naye sire se hisaab saare