Re: true story !!!
although it was funny - no doubt
But personally I think that was TOO MUCH.
Agar maira koi buhat achha doost hoga tu main iss baat ka hamisha khayal rakhoon ga kay close gathering main chahay jitnaa mazaq kar loon laikin public main koi aisi harkat na karoon jiss say mairay doost ko sharmindagi ho. Hoo sakta hay wahan McDonald main kuch loog aisay hoon jo ussay jaanTay hooN. Iss episode kay baad woo baychara unn kay samnay hamaisha sharminda rahay ga. Agar aap ko mazaq karna hi thaa tu apas main privately kar laitay. I mean kissi aisi jagga par yeh drama kar laitay jahan sirf aap loog hotay.