apane haathon ki lakiroon main basaalay mujh ko
main houn tera naseeb apana banalay mujh ko
mujh say tu poochnay aaya hai wafaa kay maani
ye teri sadaadili maar na daalay mujh ko
main samandar bhi houn moti bhi huon gota zan bhi
koi bhi naam meraa lay kay bulalay mujh ko
tu nay dekhaa nahn aainay say aagay kuch bhi
Khuda parasti main kahin tuu na ganvalay mujh ko
kal ki baat aur hai main ab saa rahoon ya na rahoon
jitna ji chaahay tera aaj satalay mujh ko
Khud ko main baant na daaloon kaheen daaman-daaman
kar diya tu nay agar mere havaalay mujh ko
main jo kaanta hoon to chal mujh say bacha kar daaman
main hoon gar phool to joray main sajaalay mujh ko
main khulay dar kay kisi ghar ka hoon saamaan piyaray
tu dabay paaon kabhi aakay churalay mujh ko
tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam
tu kabhi yaad to kar bhoolanaywaalay mujh ko
baada phir baada hai main zahar bhi pi jaon “Qateel”
shart yay hai koi baahoon main sambhalay mujh ko