Tribute to Prof. Iqbal Azeem

**roshni mujh sey guraizaa.n hay tu shikwa bhi nahi
merey ghum khaane main kuch aisa undhaira bhi nahi

pursish-e haal ki fursat tumhain mumkin hay na ho
pursish-e haal tabiyat ko gawara bhi nahi

yoon sar-e raah mulaqaat hoi hay aksar
tum nay dekha bhi nahi, hum nay pukara bhi nahi

arz-e ehwaal ki aadat bhi nahi hay hum ko
aur halaat ka shaid ye taqaza bhi nahi

be-niyazana guzar jain guzarne waley
merey pindaar ko ab shouq-e tamasha bhi nahi

haath phailaaoo.n main eesa nafasoo.n k aagey
dard pehlu main merey hay magar itna bhi nahi

ik shikan maathey pe dekhi thi tumharey hum nay
phir kabhi aankh utha kar tumhain dekha bhi nahi

aakhiri baar hansi aai thi kab, yaad nahi
aur phir aay hansi is ki tammanna bhi nahi

merey halaat na badlain tu na badlain Iqbaal
mujh ko halaat pe kuch aisa bharosa bhi nahi**

** (Prof. Iqbal Azeem)**

Re: Tribute to Prof. Iqbal Azeem

Very nice

Re: Tribute to Prof. Iqbal Azeem

bhtttttttt khub :)