TRIBUTE TO GREAT AHMAD FARAZ!!

***Khamosh Ho Kyon Daad-E-Jafaa Kyuun Nahiin Dete
Bismil Ho To Qaatil Ko Duaa Kyuun Nahiin Dete

Vahashat Kaa Sabab Ruuzan-E-Zindaan To Nahiin Hai
Mahar-O-Maah-O-Anjum Ko Bujhaa Kyuun Nahiin Dete

Ik Ye Bhii To Andaaz-E-Ilaaj-E-Gam-E-Jaan Hai
Ai Chaaraagaro Dard Badhaa Kyuun Nahiin Dete

Munsif Ho Agar Tum To Kab Insaaf Karoge
Mujarim Hai Agar Ham To Sazaa Kyuun Nahiin Dete

Rahazan Ho To Haazir Hai Mataa-E-Dil-O-Jaan Bhii
Rahabar Ho To Manzil Kaa Pataa Kyuun Nahiin Dete

Kyaa Biit Gaii Ab Ke ‘Faraz’ Ahal-E-Chaman Par
Yaaraan-E-Qafas Mujh Ko Sadaa Kyuun Nahiin Dete***

Re: TRIBUTE TO GREAT AHMAD FARAZ!!

bht hi mushkil urdu hai kuch samjh nhi ayyaaa

Re: TRIBUTE TO GREAT AHMAD FARAZ!!

police kay chittar khanay say koi mur nahi jata faraz

bus paidal chalnay kay andaaz badal jatay hain.

nice one.......... yeh samajh aa gaya

Re: TRIBUTE TO GREAT AHMAD FARAZ!!

Usne Mujhe ye Keh Kar Chhor Diya Faraz.

Mujhe Neend Aati Hai 11 Baje k baad.

Aur

Tumhara Package Shuru Hota Hai 12 Baje k Baad. :-(

wah wah kia shair hay ................lols

Re: TRIBUTE TO GREAT AHMAD FARAZ!!

nice 1 bt yeh maverck or memon rulez nay ky chawlain add ker din?

Re: TRIBUTE TO GREAT AHMAD FARAZ!!

any how asli b bohot achi thi bt in bongion ka b mza aya.

chalo bhai kisi ko to samajh aa gayi aasan mushkil si gazal........

oho i was thinking out of the box

Police kay chattar khanay kay baad too na samajah may anay wali bad bhee samaj a jati hai.. Kya Samjahay!

Re: TRIBUTE TO GREAT AHMAD FARAZ!!

top ghazal
nok jhonk bhi???hmmmm jaari rakhye