I will pay back with my utmost love & gratitude! ![]()
http://www.gupistan.com/gallery/1/nazam.jpg
Underline words are over my head.
I will pay back with my utmost love & gratitude! ![]()
http://www.gupistan.com/gallery/1/nazam.jpg
Underline words are over my head.
waah meri pasandeedaa nazm..main aksar parhta hoOn kissi din yaahaan upload karooNga
Dast= Haath
Qiblaa= Qiblaa(kaa’aba) lekiN isske lugHwi maini hote haiN saamne
numaa = Ki taraf
Yani Haath Qiblaa ki taraf uThaa kar Shahaadat denaa keh Laa-ilaaha-Il-Allah
chashm-e-fusooN-saaz = jaadu waali nigaah
Chashm= Aankh
FusooN-saaz= Jaadoo karne waali, Sehar-angez
** Baar-e-IsiyaaN ** = **Baar ** = Bojh **IsiyaaN ** = KamzoriyaaN
KamzorioN ka bojh
**Laik **= LekiN **Asaaa **( Hazrat Mosaa alihisalaam ki charhi ) Charhi ..Saharaa
yani keh ;- Tauheed hi har Imaan ka Sahaara hai, iske begHair insaan kamzor hai aur kissi Qaabil nahIn..Imaan ko Tauheed se hi strong bantaa hai
**Uqdaa **= Sawaal (Chuppi hui cheez)… **Kushaa **= khulnaa
Huwa hai uqdaa kushaa…yani yeh maslaa hal huwa (Tashreeh:_)
( Yani Kalima-e-Tauheed ne allah tallah ki Tauheed khol kar biyaan kardi hai ab mere dil meiN koi pareshaani baaqi nahi rahi
**Aqqeda-e-Sanwiyat **= Shirk , Saani Qayaam karnaa(do khudaouN ko manNa ya aik se ziaada khudaa bananaa,
** Taslees ** ( isaioUn ka aqeedaa, Mariyam, Isa, aur kHuda)Tikon (teen per jiss ka inhetaat ho)
**Kazb **= Jhoot.
Shirk ho ya IsaioN ka aqeeda( hai to sab kuch hi shirk magar sher ki wajah se aisaa likha gaiya hai behr aur Wazan ki pabandi akrte huwe) do kHudaaouN ko maanaa jaye ya isiouN ki tarah teen teen khudaaoUn ko …yeh sab kuch jhoot hai aur behass karnaa aisse mozuu per fuzool hai ( sher ki tashreeh hhai)
ahmad bhaai i think aap ki maiN ne apni aqal aur ilm ke mutaabiq madad kar di hai kuch aur laiq-e-khidmat ho to i am always Haazir
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
mashallah aapki choice bohaat hi acHi hai aur mere passandeeda shaiyar ki Shairi hai Love you for that !
[This message has been edited by Tassneef (edited July 28, 2002).]
Bohat Bohat shukria Tassneef bhai! Really Much appriciated.
Acctually I recently downloaded this nazam in mp3, [from here]](http://www.mtaintl.org/poems.htm) and burned a CD. I believe its from one of the urdu classes. ![]()
They have uploaded the nazams from the Jalsa this year! You can get it here! Some of them are so greatly read that I can’t help but cry my eyes out. :`)
OHhh thaanx bhaai keh aap ne mujhe yeh link diyaa i reallyy needed these MP3 files thank you
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
Aaankh to bhaai har aik roti hai aur har aik dil dukhtaa hai har suche musalmaan ka apne musalmaan bhaiouN ko takleef meiN dekh akr magar hamaara shewaa , Taqwaa, duaa aur sabr-o-razaa hai Allah tallah se
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
Inshallah sab Theek hojaigaa aik din
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
ameen
[This message has been edited by Tassneef (edited July 28, 2002).]
woww its reallyy nicee
iss site ka mujhe nahiN pattaa thaa
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
Thaanxx
Baaji sahi khush hongi unko maiN CD burn kar dooNgaa
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
weesse yahan per bhi nazmein aaüp online sun sakte haiN
Al-islaam](http://www.alislam.org)
yahaan urdu section mein jaakr
Bhaai yeh nazm UrduClass meiN bhi parhi gai hogi magar yeh kissi England ke Jalsaa meiN “Lajnaat” ki taraf se parhi gai thi…i am not sure keh germany meiN Lajnaat parhti hain NazmeiN ..lekin i am sure this one is of UK Jalsaa
[This message has been edited by Tassneef (edited July 28, 2002).]