^
+++++++++++++++++++
===========
Yeh Dard Mitt Gaya Tou Phir
Yeh Zakhm Sil Gaya Tou Phir
*Bicharr Kay Sochta Hoon Main *
Woh Phir Say Mil Gaya Tou Phir
Main Titliyoon Kay Sharer Main
Rahoo’n Tou Mujh Ko Fik’r Hay
*Woh Phool Jo Khila Naheen *
Woh Phool Khil Gaya Tou Phir
Tumhain Bhi Kuch Naheen Mila
Mujhay Bhi Kuch Naheen Mila
*Tamaam Umer Kay Li’ay *
Yeh Dard Mil Gaya Tou Phir
Main Is Liay Tou Aaj Tak
Sawaal Jo Na Kar Saka
Agar Mayray Sawaal Ka
jawaab Mil Gaya Tou Phir
Yeh Theek Hay Key Lautt Kar
Mayray Hee Dil Main Aaogey
Magar Yeh Soch Lo Zara
Badal Yeh Dil Gaya Tou PhiR !!!
_____________________________
++++++++++++++++++++++++
+
Re: ~~ Tou PhiR ~~
Yeh Theek Hay Key Lautt Kar
Mayray Hee Dil Main Aaogey
Magar Yeh Soch Lo Zara
Badal Yeh Dil Gaya Tou PhiR !!!
very nice
Thanx Shabbo :~)
Thanx Saqi angel Sahiba :~)
Thanx gul Jee :~)
Thanx JanabA :~)
Re: ~~ Tou PhiR ~~
PK
"Thanx Saqi angel Sahiba :~)"
Rab tenooN khush Rakhay
Yeh kiya zaman aa gaya hai ke Larkay aur larki ki pechan he khatam ho gayee hai
Yaar … Yeh** Angel** Word Dhoka Day Gayaa … Thorra Sa Zananiyaa’n Wala Naam Hayna 
Thanx Pk … :~)
Thanx Ahmi :~)
Re: ~~ Tou PhiR ~~
^ Mohtram(a) yeh mere liyeh hee dokha khana tha,
aur koi nahin mila
Re: ~~ Tou PhiR ~~
BTW badla maine be le liya
Aur Larka log kiya angel nahi ho saktay???
Sorry Bhai JAAN … :~)
Angel Aur Larrkay Log … Mushkil Hay 
Re: ~~ Tou PhiR ~~
Ab yeh to bolo Bhai ki Behna ho ya Bhaiya?????????
Lagta hai k Behna ho from yr statement
Re: ~~ Tou PhiR ~~
Kiya banay ga is duniya ka
Kiya Aap Ko Bhai Jaan Sirf Larrkiyaa’n Hee Boltee Hain 
Thanx janab :~)
Tum Kiya Banana Chah Rahay Ho 
Itnay bhee buray din nahiN aaye
Re: ~~ Tou PhiR ~~
^tou Phir Shukar Adaa karo 