Tou kia tumhay mein kabih yaad hi nahee aaya??
Tou kia tumhay mein kabhi yaad hi nahee aaaya
kisi gulaaab ko tehni say toor ker bhi nahi
kisi kabotar e gardan ko dekh ker bhi nahi
kisi darkht k saye mey baith ker bhi nahi
tu kia tumhain mey kabhi yaad hi nahi aya?
kabhi diya kisi dargah mein jalatay howay
kisi dukaaan pay saarhi pasand kartay howay
aaazzaaan hotay hi aanchal say sir ko dhaktay howay
kisi khayal mein baithay say uth kay chaltay howay
kisi bhi roz younhi ghar kay kaam kartay howay
khizaaan mein sokhtay patton ka shor suntay howay
uttartay chand ka mojon mein aks partay howay
khala mein zaaat ki bay aasra bhataktay howay
younhi kabhi koi makhsooos dhun ko suntay howay
kabhi kabhi koi younhi kitaaab parhatay howay
kisi sahayli say hanstay samay lipattay howay
barastay abr mein younhi kabhi nahatay howay
khud apnay jism say kabhi younhi lujaatay howay
tou kia mein tumhay kabhi yaaad hi nahee aaaya?
safaaid dooodhiya anchal ko zard rangtay howay
gulaaal maltay howay choriyan pehantay howay
gulaaab haton pay mehandi kabhi lagatay howay
chamaktay mathay pay bindiya kabhi sajatay howay
sanwar kay dair talak aeenay ko taktay howay
tou kia tumhay mein kabhi yaad hi nahee aaaya?