maddi
1
koi khawab dasht-e-firaq mean sar-e-sham chehra kusha hua
meri chasm-e-tar mean ruka nahi ke tha rattjagon ka dasa hua
meray dil ko rakhta hai shadman meray hunton ko rakhta hai gul fishan
wohi ek lafz jo aap ne meray kaan mean hai kaha hua
hai nigah mean meri aj tak who nigah koi jhuki hui
wo jo dihan tha kisi dehan mean wohi aj bhi hai laga hua
meray rattjagon kea fishaar mean meri khawahishon kea gubar mean
wohi ek vada gulab sa sar-e-nahl jan hia khila hua
teri chasm-e-khush ki panah mean kisi khawab zar ki rah mean
meray gham ka chand thehar gaya ke tha rat bhar ka thaka hua
hai yeh muhtasar rah-e-ishq per, nahi aap hum rahay humsafar
tou ho kis liye yeh mubahisa kahan kon kaisay juda hua
kisi dil kusha si pukar se ousi aik baad-e-bahar se
kahin barg barg namo mili kahin zakhm zakhm hara hua
teray shehar-e-adal se aj kia sabhi dard mand chalay gaye
nahi kagzi koi perhan nahi hath koi utha hua
Amal
2
Re: Tou ho kis liye yeh mubahisa kahan kon kaisay juda hua
maddi, one of my all-time favourite ghazal. A timeless piece :k: … Thanx for sharing with us 
maddi
3
Re: Tou ho kis liye yeh mubahisa kahan kon kaisay juda hua
thanks amal its nice to hear comment 4rm u.N i like ths gazal too.