Dusman-e-jaan hui hai Anna, Tor de
Mere dil Aaj ye Aaina ab,tor de…
Aur barh ja,yeen gi meri betabiyaan
Woh jo Zabat-e-musalsal mera,tor de
Bholne ka issay jab irada kia
Dil pukara k ye faisala,tor de
Tungg ah ker Jafayoon se oss ki
Kaisay mumkin hai Ahde-e-waffa,tor de
Zakham-e-dil din ba din aur barhte rahay
Onn k bharne ka ab Aasra,tor de
Jab mohabat mili hai na manzil mujay
Zindagi main hai phir kya maza,tor de
Le he Ayi Gulistan main Gul Ki Talab
Aas Meri na baad-e-saba,tor de
Ye Mohabat Tera Rog nahi hai"Aaina"
Ho rahi hai Ager Abta,da,tor de…