سرد مھر لوگوں سے

sard maher logon say
on ki sard mahri ka
ham gila nahe karty
teer jo zuban kay hain
gar kisi ko lag jaien
dard sa kun hota hay
chain sa kun khota hay
zakhm on ki baton kay
kun sila nahe karty..
badlihaz lamhon main
dhyan rakhna parta hay
doston ki baton ka
maan rakhna parta hay
achay dost dunya main
phir mila nahe karty
pathron ki dunya main
log b hain pathr kay
lakh zalzalay aien
vo hila nahe karty

Re: سرد مھر لوگوں سے

bohut khoob :k:

koi farhk nahi perta :nahi:

Re: سرد مھر لوگوں سے

right…:frowning: