Re: میخانہ
bahot Khoob…Allah kare zor e raqam aur ziyaada! ![]()
maut kii hichkiyaaN kabhii nahiiN sunii? ta’ajjub hai! ![]()
meraa bhii ek she’r isii mauz’oo par thaa, mulaaHizah farmaaiye:
**
na lauTaa naama_bar aur hichkiyaaN lene lagii jaan jab
ajal kii shakl meN aaKhir mere Khat kaa jawaab aayaa!** ![]()