**Kya khabar thi k main iss darja badal jaun gi
tujh ko kho duun gi tere ghum main badal jaun gi
ajnabi bann k miluun gi main tujhay mehfil main
tu ne chairhi bhi to main baat badal jaun gi…
zidd main aaey hue bachay ki trah khud hi
kashti ko dabonay pe machal jaun gi…
dhoond paey na jahaan yaad bhi teri mujh ko
aisay jungle main kisi roz nikal jaun gi…**