~:Faraar:~

apnay maazi k tasavvur se hiraasan hon mein
apnay guzray huay ayyam se nafrat hai mujay
apni bekaar tamannaon pe sharminda hon
apni besudh umeedon pe nidamat hai mujay

mere maazi ko andhere mein daba rehnay do
mera maazi meri zillat k siwa kuch b nahi
meri umeedon ka haasil, meri kaavish ka sila
ek benaam aziyyat k siwa kuch b nahi

kitni bekaar umeedon ka sahaara lay kar
mein ne aewaan sajaaey thay kisi ki khaatir
kitni be-rabt tamannaon k mubham khaakay
apnay khwaabon mein basaaey thay kisi ki khaatir

muj se ab meri muhabbat k fasaanay na kaho
mujko kehnay do k mein ne unhen chaaha hi nahi
aur wo mast nigaahein jo mujay bhool gaeen
mein ne un mast nigaahon ko saraaha hi nahi
mujko kehnay do k mein aaj b jee sakta hon
ishq nakaam sahi, zindagi nakaam nahi
unko apnaanay ki khwaahish unhein paanay ki talab
shoq beqaar sahi saee gham anjaam nahi

wohi gesu wohi nazrein wohi aariz wohi jism
mein jo chaahon to mujay aur b mil saktay hein
wo kanwal jin ko kabi un k liye khilna tha
un ki nazron se bohot door b khil saktay hein

Saahir Ludhiyaanvi

Re: ~:Faraar:~

gud choice

Re: ~:Faraar:~

wonderful !

Re: ~:Faraar:~

oh aabla_paa....ki kar ditta tusi..... :(

Re: ~:Faraar:~

ThankS … :slight_smile:

^^ Aap ko Kya hua ?? :confused:

Re: ~:Faraar:~

it was sad.