dard ke har ik had say ab guzar gaya hoon main
phir kabhe na simtoon ga youn bikhar gaya hoon main
maut bus nahi aate rouh kay nikalnay say
rouh mujh main baki hai phir bhe mar gaya hoon main
zindage main jitne bhe roshi the us say the
mustakil andhairon main ab utar gaya hoon main
us ka sath jab tak tha rang rang mausam thay
bus khizaan kay manzar main ab thehar gaya hoon main
bam-o-dar bhe us kay baad ho ga’ay hain youn khamosh
aur dil ulajhta hai jab bhee ghar gaya hoon main
aaina bhe hasrat say daykhta hai ab mujh ko
**kon ajnabi hain yeh aur kidhar gaya hoon main **