Dania
1
sat ko main bohat bore ho rahee thee shaam main..phir main apnay nephew aur
niece ko lay kar bahir chali gayee…bachon ko donuts dilaya aur khud coffee
pee..garam garam coffee jab piyaa tou mera moonh jal gaya aur gala bhi..
ab na
tou kuch khaya jaa raha hai aur na piyaa jaa raha hai…subha uthee tou laga kah
gala kharab hai..main nay dawa peee lee..aur saara din mujhay neend aatee
rahee..ek pal araam nahi karsakee
ghar main mahmaan aai huay thay…uskay
baad bhabhi bhai kay saath mall chali gayee..waapis jab ghar aai tou main nay
khana khanay kay baad dobara dawa pee lee..magar phir neend shuroo..aur jo
5 bajay soi hoon tou 8 bajay uthee aur phir sey galay main ajeeb sa honay
laga..main nay jo jo totkay thay woh aazmaa liyah magar aaraam nahi mila..ab
kya karoon?

Dania
3
Dania
6
Re: 
yukhh..joshanda main nahi peeti..karwa kasiala…
Jaan Lewa aur gala kharab hojai ga…waisay dil tou bara kar raha hai khanay ka 
Re: :-(
ice cream se nahi hota gala kharab
Re: 
namkeen paani se ghararay karo. 
Dania
10
Re: 
mujhay ghararay karnay nahi aatay 
bizz
11
Re: 
^-- tow namkeen paani pe jao 
bizz
13
Re: :-(
Thora sa lemon and cheene add kerkay :D
Re: 

mooN main pani daalo, then moon ooper uthao, then ghar ghar ghar ghar ghar karo. :halo:
Dania
15
Re: 
u mean lemonade? 
Bamboo mujhay nahi aata na..cg bhi hamesha yehi mashwara detay hain:teary1:
fghd
16
Re: 
aww mera bacha
take some chicken soup and insha’allah ull be aik dum jhakkaaaaaaaas :k:
Re: 
tau phir karo na try. 
kabhi kabhi gadhay bhi acha mashwara de detay haiN. maan liye karo. :o
Dania
18
Re: 
acha theek hai 
emm chicken soup
ab kal hi piyon gee bana kar ..thanks 