:bism:

Koi mujh ko mera bharpoor sarapa la day

Meray bazoo,meri ankhain,mera chahra la day

Aisa dariya jo kisi aur samndar main giray

Is say behtar hai kay mujh ko mera sahra la day

Kuch nahin chahiya tujh say ay meri umar e rawan

Mera bachpan,meray jugnoo,meri guria la day

Niya mausam meri beenai ko tasleem nahin

Meri ankhon ko wohi purana khuwab la day

Jis ki ankhain mujhya andar say bhi perh sakti hoon

Koi chahra to meray shahar main aisa la day

Kashti e jahan to bhanwar main hai kai barson say

Ay khuda ab to dubo day ya kinara la day

:k: