💏

:bhangra:
~~US NEY KAHA~~

Us ney kaha mujh sey kitna piyar hai ?

MAin ney kaha sitaron ka koi shumar nahin

Us ney kaha k kon tumhin hai bohat aziz ?

MAin ney kaha, dil pey jis ka ikhtiyar hai

Us ney kaha Kon sa Tofah tumhin main doon ?

MAin ne kaha wohi shaam jo abhi tak udhar hai

Us ney kaha Khizan main mulaqat ka jawaz ?

Main ney kaha, qurb ka matlab bahar hai

Us ney kaha senkron gham zindagi main hain ?

Main ney kaha gham nahin, jab ghamgasar saath hai

Us ney kaha saath kahan tak nibhaon gi ?

Main ney kaha jitni yeh saans ki taar hai

Us ney kaha mujh ko yaqeen aaye kiss tarah ?

Main ney kaha, naam mera aetbaar hai

                                                        :nuch:

Waise dhool wale aur bhangra ki kia zarorat thi mein :konfused:
anywayz nice