Re: toone dekha hai mabhee ek nazar shaam ke baad
wo jo tal jaati rahi sar say bala shaam k baad koi to tha k jo deta tha dua shaam k baad
aahein bharti hai shab-e-hijr yateemon ki tarah sard ho jati hai har roz hawa shaam k baad
shaam say pehlay talak laakh sulaaey rakhein jaag uthti hai muhabbat ki ana shaam k baad
log thak haar k so jaatay hein lekin jana hum nay khush ho k tera dard saha shaam k baad
tum gaey ho to siah rang k kapray pehnay phirti rehti hai mere ghar mein kaza shaam k baad
aankh ban jati hai saawan ki ghata shaam k baad loat jata hai agar koi khafa shaam k baad
koi bhoola hua gham hai jo musalsal mujhko DIL k pataal say deta hai sada shaam k baad
by: Farhat Abbas Shah
its awesome..................bohat khoob!