toone dekha hai mabhee ek nazar shaam ke baad

toone dekhaa hai kabhee ek nazar shaam ke baad
kitane chup-chaap se lagte hain shajar shaam ke baad

itane chup-chaap ke raaste bhee rahenge laa-ilm
chhod jaayenge kisee roz nagar shaam ke baad

main ne aisee hee gunaah teree judaa_i main kiye
jaise toofaan main ko_i chhod de ghar shaam ke baad

shaam se pehle vo mast apanee udaanon main rahaa
jis ke haathon main the toote hue par shaam ke baad

raat beetee to gine aable aur phir sochaa
kaun thaa baa_is-e-aaGaaz-e-safar shaam ke baad

too hai sooraj tujhe maaloom kahaan raat kaa dukh
too kisee roz mere ghar main utar shaam ke baad

laut aaye na kissi roz vo aavaaraa majaaz
khol rakhate hain isee aas pe dar shaam ke baad

~~~`~~~~
Ijaz A Zaidi
~~~~
~~~~

Re: toone dekha hai mabhee ek nazar shaam ke baad

isko bhi padh liya jaaye

Re: toone dekha hai mabhee ek nazar shaam ke baad

wo jo tal jaati rahi sar say bala shaam k baad
koi to tha k jo deta tha dua shaam k baad

aahein bharti hai shab-e-hijr yateemon ki tarah
sard ho jati hai har roz hawa shaam k baad

shaam say pehlay talak laakh sulaaey rakhein
jaag uthti hai muhabbat ki ana shaam k baad

log thak haar k so jaatay hein lekin jana
hum nay khush ho k tera dard saha shaam k baad

tum gaey ho to siah rang k kapray pehnay
phirti rehti hai mere ghar mein kaza shaam k baad

aankh ban jati hai saawan ki ghata shaam k baad
loat jata hai agar koi khafa shaam k baad

koi bhoola hua gham hai jo musalsal mujhko
DIL k pataal say deta hai sada shaam k baad

by: Farhat Abbas Shah

Re: toone dekha hai mabhee ek nazar shaam ke baad

Great jugalbandi

Re: toone dekha hai mabhee ek nazar shaam ke baad

jugalbandi ???:naraz:

Re: toone dekha hai mabhee ek nazar shaam ke baad

its awesome..................bohat khoob!

Re: toone dekha hai mabhee ek nazar shaam ke baad

bohat aalaa!:)

Re: toone dekha hai mabhee ek nazar shaam ke baad

Arre yaar naaraz kyon hote ho..ghazal main bhi jugalbandi ho sakti hai naa:D

Re: toone dekha hai mabhee ek nazar shaam ke baad

[QUOTE]
Arre yaar naaraz kyon hote ho..ghazal main bhi jugalbandi ho sakti hai naa:D<!-- / message -->
[/QUOTE]

Im not naraz. I just dont understand what u mean by this word "jugalbandi" ???