Too nay deewana banaya to mein deewana bana
Ab mujhay hosh ki duniya mein tamasha na bana
Yousaf-e-Mis’r-e-Tamanna teray jalwon kay nisaar
Meri bai’daariyon ko Khwaab-e-Zulaikha na bana
Zauq-e-Bar’baadi-e-Dil ko bhi na kar too bar’baad
Dil ki ujri hoi, big’ri hoi duniya na bana
Ishq mein Deeda-o-Dil, Sheesha-o-Pai’mana bana
Jhoom kar baith ga’ay hum, wahein may’khana bana
Ye tamanna hai kay azaad-e-tamanna hi rahon
Dil-e-Mayoos ko Manoos-e-Tamanna na bana
Nigah-e-Naaz se poo’chhein gay kisi din ye Zaheen
Too nay kia kia na banaya!! Koi kia kia na bana!!
AND LISTEN THIS AT 2-3 am IN NIGHT
Tu Ne Deewana Banaya by - Tu Ne Deewana Banaya Lyrics,Tu Ne Deewana Banaya MP3 Download
Re: Too nay deewana banaya!!!
Ye tamanna hai kay azaad-e-tamanna hi rahon
Dil-e-Mayoos ko Manoos-e-Tamanna na bana
haye haye haye…kaisi aag laga di …
Too nay kia kia na banaya!! Koi kia kia na bana!!
cant stop my emotions … uff kiya awaz may kiya kia keh gayee abida sahiba…
LP
4
Re: Too nay deewana banaya!!!

Re: Too nay deewana banaya!!!
kiya soch rai hooo?
Re: Too nay deewana banaya!!!
Rat me it's a:m
corrected.
LP
7
Re: Too nay deewana banaya!!!
Khaas nai lagi mujhe :no:
Re: Too nay deewana banaya!!!
hmmm…tu kiya howa…
Re: Too nay deewana banaya!!!
Zauq-e-Bar'baadi-e-Dil ko bhi na kar too bar'baad
Nain
10
Re: Too nay deewana banaya!!!
Khwaab-e-zulaikha 
kya matlab… is ke pichey koi kahani hai…
Re: Too nay deewana banaya!!!
Ab mujhay hosh ki duniya mein tamasha na bana