ahtisaab ki batain, pehlay se hoti hain
hamara tu pichla record, assi ikasi hai
yahi soch ker tu dar jatay hain hum
teen din se, dil mein bari udasi hai
kuch socho kuch karo, koi rasta nikalo
ye seat tu bari hi bambaat si hai
kia hain nakhray kia hain adain us ki
jabhi tu ye dil uska iltimaasi hai
kahin jeet na jai, buhut hai paisa
wo jo tind wala sala abbasi hai
akbar ka bhi chance acha lagta hai
wo tu dilnasheen ka parosi hai
magar haar jai ga bechara kala wala
wo tu sarkaari daftar ka chaprasi hai
aur wo bhi, jo bus mein ata jata hai
taras ata hai, bechara pardesi hai
pata chalta nahi ke kia hu ga akhir
kahin khushi, kahin chai udasi hai
khuda ne izat rakhli jeet gaye election
pakar unhain aur cha gaye badhawasi hai
ab tu choro, ab tu hu gaya biha us ka
Atif, kesay hain log, kesi nafsa nafsi hai
15 june 1997
![]()