Too Late....

Aadhi raat kay san’naty mein
Kis nay fone kiya hai mujh ko
Janay kis ka fone aya hai
Fone utha kar yoon lagta hai
Us janib koie gumsum, gumsum ukhra ukhra
Dheray dheray kanp raha hai
Mehki huie eik khamoshi hai
Ghup khamoshi
Lekin is khamoshi mein bhi goonj rahay hain
Thandi sansain, baarish, ansoo
Khamoshi say thak kar usnay sans liya to
Churie khankie.

Uff yeh khann khann
Eik lamhay mein saray badan mein phel gaie
Teray ilawa koie nahi hai
Lekin itnay barsoon baad…

what a nightmare, shuker aakh khul gayee… :hehe:

btw poetry is nice. :k:

aj ki raat hunsna :nono:

Re: Too Late…

ummm kon hosakta hai :konfused:

Re: Re: Too Late…

suchi se koyal nahi thei :teary3:

:flower1:

well jis nay ap ko ph kya pata nahi kon thi lakin us kay dil ki baat
main kahdati ho ;)

ijazat ?
*
bebus hokar dil kay hatho mainy socha
aj main us ko ph karo gi
aur kaho gi
main nay tum ko lakh bhulaya
loh-e-dil say tumhra naam lakh mitaya
lakin janaN! sach pocho to
dil kay hatho har gaye main
aoo ek bar milain to, mar kar bicharain
number us ka dial karkay
us kay nurm say lehjay ki hello sun kar bhi
chup nahi toti
dhark dhark kay dil bhi machla
kuch to bolo-----lub to kholo
lakin aj reciever rakh kar kuch bhi na kah kar,
apny dil say
bila akhir main jeet gaye ho!

oh tu ap ne us pe hang up kar dya ch ch ch :rolleyes: :k:

:biggthumb

mane nahi us kuri nay :stuck_out_tongue:

:k:

[QUOTE]
*Originally posted by chand_chehra: *

mane nahi us kuri nay :p
[/QUOTE]

eik hee baat hai na :p

[QUOTE]
*Originally posted by chand_chehra: *
well jis nay ap ko ph kya pata nahi kon thi lakin us kay dil ki baat
main kahdati ho ;)

ijazat ?
*
bebus hokar dil kay hatho mainy socha
aj main us ko ph karo gi
aur kaho gi
main nay tum ko lakh bhulaya
loh-e-dil say tumhra naam lakh mitaya
lakin janaN! sach pocho to
dil kay hatho har gaye main
aoo ek bar milain to, mar kar bicharain
number us ka dial karkay
us kay nurm say lehjay ki hello sun kar bhi
chup nahi toti
dhark dhark kay dil bhi machla
kuch to bolo-----lub to kholo
lakin aj reciever rakh kar kuch bhi na kah kar,
apny dil say
bila akhir main jeet gaye ho!
[/QUOTE]

Beautiful :)

:)

:)

:blush: thanko