Ap sab ko meri taraf se ane waali Eid ki dheroon khushiyan mubarak.
Eid ki munasibat se ap sab ki nazar 'Tohfa-e-Eid' lekar hazir hon.
**Fakhira Batool** ki yeh nazm ap sab ko yakenan pasand aegi ...
aur hosakta hai Eid ke din meri tarah ap mein se kisi ki bhi yeh sada-e-dil ho.
Hai wohi aasmaan, zameen wohi
Maah-o-anjum ussi tarah raushan
Kehkashaan ab bhi muskuraati hai
Phool kaleyaan mehak rahi hain yunhi
Baad muddat ke saaray pardesi
Apne apne gharoon ko aaye hain
Har taraf rang-o-bou ka mela hai
Aur tanha mein apne kamre mein
Kab se bethi hoon aur soch rahi hoon
Jaanay kya baat hai ke ghar mein mere
Jo guzashta barass thee raunaq
Ab woh kaheen bhi nazar nahee aati
Hai fiza mein ek ajeeb sa san’naatta
**Haan faqat ek tere chale jaanay se
Aisa mehsoos horaha hai mujhe
Rutt khushi ki har taraf tu aee hai
Sirf chote se mere aangan mein
Eid ab ke baras nahee aee… **
~ Eid Mubarak to all of you ~
May Allah bless you, guide you all year through …
May He give you all the strength to make your dreams come true … (Ameen)
awww very touchy !! thx arif bhai for sharing and Eid mubarak to u 2!!
kuch shair meri taraf sey bhi ..
'Eid' kaa din hai gale aaj to lag jaa zaalim
rasm-e-duniyaa bhii hai mauqaa bhii hai dastuur bhii hai
dastuur hai duniyaa kaa magar ye to bataao
ham kis se mile.n kis se kahe.n 'Eid' mubaarak
mai.n ne chaahaa tujhe 'Eid' pe kuchh pesh karuu.N
jis me.n ehasaas ke sab rang ho.n raushan raushan
jis me.n aa.Nkho.n ke taraashe hue motii laakho.n
jis me.n shaamil ho mere qalb kii dha.Dakan dha.Dakan
Haan faqat ek tere chale jaanay se
Aisa mehsoos horaha hai mujhe
Rutt khushi ki har taraf tu aee hai
Sirf chote se mere aangan mein
Eid ab ke baras nahee aee…
Wah wah bohat khoob Arif & Nazi..
Aap sabko bhi meri taraf se bohat bohat Eid Mubarak ji.. Eid ki hi munasibat se chand alfaaz paish-e-khidmat hain..
Binn dekhey ussey ya Rabb, yeh Eid na guzrey Kar paida koi aisa sabab, yeh Eid na guzrey Duniya ko dikhaya hai, ik chaand jo tu ney Mujh ko bhi dikha dey, ab yeh Eid na guzrey..
Dua hai ap dekhain zindagi main beyshumaar eidieen
khushi say ruks karti,muskurati, pur bahar eidieen
Nichawar aap per hoon aisi Sud hazar eidieen
Zamanay bhar ki khushiyaan aap per kardein Nisaar Eidieen!
Hilal-e-eid ye paigham Unko dena
Kahan Chalay gaye Tum mujh ko karkay
Sodayee!
Jin kay milnay ka Asara hi nahin
eid unka khayal lati hai.......!
Aik din bhi Jo saath na dey saka logh kehtay hain ussay Eid ka chaand !
Iss Eid pey bhi hum na milengey tu kiya hua
Jazboon main Khuloos ho tu Eidieen hazar hain!!
Delighted to see your contribution in this thread … keep it up and thanks for your visit also …
Lamhay Ji:
Thank you for your visit and also for your marvellous collection … Aap ke collection ki tareef ke leye alfaaz nahee hain, no doubt, your contribution are excellent and especially the last one :k::k::k:
Kahaan se laati hain dhoond dhoond kar aap ? humein bhi bata dejeyey …
Mein itna kahonga ke …
*
Kar ke har chehra tasavvur tera chehra Lamhay
Eid ke din bhi galay sab ko laga kar roye …