*Tohfa bheja hai meri salgirah par uss nay
ek kangan jo kalai main khanakta hi nahi
meray andar ki khamoshi ka asar hai iss par
iski awaz kahin kho gayee mujh se lag kar
iss sey bahtar tha kah mujhay zindah karta
phir woh ahsaas meri salgirah ka karta
iss main heeray hain magar taab-o-tawaN sey khaali
yeh zabanay hain magar husn-e-biyaan sey khaali
yeh sitaaray hain magar raah batatay hi nahi
yeh safeenay hain magar paar lagatay hi nahi!
iss ko pahnoo tou yeh lagta hai kalai bhi gayee
itnee chupp hoon kah meri talkh-e-nawai bhi gayee
iss nay kangan ka yeh tohfa mujhay kyun kar bheja
ek patthar ki tarag doosra patthar bheja
main bhi kahsaktee kah badlaa hai muqaddar uss nay
tohfa bheja hai meri salgirah par uss nay..*