iss thread main har roz aik poet ka naam tajweez kya ja’y ga aur ham sab us poet ki poetry aik dosray kay sath share karain gay.
yahan aap logon ki suggestions chahyay keh har roz na’y poet ka naam tajweez karnay ka kya treeqa ho ga? ![]()
thanx
iss thread main har roz aik poet ka naam tajweez kya ja’y ga aur ham sab us poet ki poetry aik dosray kay sath share karain gay.
yahan aap logon ki suggestions chahyay keh har roz na’y poet ka naam tajweez karnay ka kya treeqa ho ga? ![]()
thanx
Re: Today's Poet: Noon Meem Rashid
Zindagi say dartay ho?
zindagi say dartay ho
zindagi tou tum bhi ho, zindagi tou ham bhi hain
aadmi say dartay ho
aadmi tou tum bhi ho, aadmi tou ham bhi hian
Aadmi zuba.N bhi hay, Aadmi bya.N bhi hay
us say tum nahien dartay
hurf aur ma'ni kay rishta ha'y ahan say
aadmi hay wabasta
aadmi kay daman say zindagi hay wabasta
us say tum nahien dartay
"an kahi" say dartay ho
jo abhi nahien aai us gharhi say dartay ho
us gharhi ki amad ki aga'hi say dartay ho
pehlay bhi tou guzray hain
daur narasa'i kay bay rya khuda'i kay
phir bhi yeh samjhtay ho, hech arzu mandi
yeh shab-e-zuban bandi hay rah-e-Khuda wandi
tum magar ye kya jano?
lab agar nahien hiltay
hath jaag uth'tay hain
hath jaag uth'tay hain rah ka nisha.N ban kar
noor ki zuba.N ban kar
haath bole uth'tay hian subh ki aza.N ban kar
roshni say dartay ho
roshni tou tum bhi ho roshni tou ham bhi hain
shehar ki faseelo.N per
de'o ka jo saya tha, paak ho gya akhir
raat ka libada bhi chaak ho gya akhir
azdahaam-e-insa.N say fard ki nawa aa'i
zaat ki sada aa'i
raah-e-shouq main jesay raah ru ka kho.N lapkay
ik nya jano.N lapkay
aadmi chalak uthay
aadmi hansay dekho, shehar phir basay dekho
Tum abhi say dartay ho