**har deeda-e-pur nam main gohr daikh raha hai
kis shoq say woh rakht-e-safar daikh raha hai
main apni udasi ka sabab soch rahi huun
woh apni duaoan ka asar daikh raha hai
main us k khad-o-khaal main kuch dhoond rahi huun
woh apni muhabbat ka safar daikh raha hai…!
phir fasl-e-baharaan main tere labb ka tabassum
phuloan pe hawaoan ka asar daikh raha hai…!
main hijr ki ratoan k tasawwur say hirasaan…!
woh ghir k darichoan main seher daikh raha hai**