Ye such hay k hum say khasta tun
Dukhoon ki dhoop main saya nahi kartay
Hamari muskurahat main zehar hota hay
Hamaray lub hamaisha tanz k nashtar chalatay hain
Magar hum apnay piyaroon ko kabhi be-khudi main
Koi aisi baat keh dain
K Wo afsurda ho kar roo parain
To sun lo ! Hum bhi chain say soya nahi kartay…
(Un sub k liye jin ka dil meri waja say kabhi bhi zarra barabar bhi dukha ho)