to pakistan.....we’ll retaliate strongly

Chaliye maan liya ki aapki aadateN uncle sam jaise nahiN haiN, happy now?

Maaf kijiye janab, magar aapki batoN se aapka ALLAH me imaan kamzor nazar aata hai. Amreeka ki kya aukaat jo ek Iman wale mulk ko tabaah kar sake? Ab aap log ALLAH pe Iman rakhne ki jagah Amreeka se dar gaye aur Afganistan ke logo ki zindhagi ko chand dollars me bech diya to ye aapki galti hai ki nahiN? Iqbal ne kaha tha ki.........

KAFIR HAI TU SHAMSHEER PE KARTA HAI BHAROSA
MUSLIM HAI TO BE TEG BHI LARTA HAI SIPAHI.

Aur Meri khawahish Pakistan ki tabahi nahiN balki aman hai jo shaayad aap nahiN samjhenge.