Sabko maaloom hai main sharaabi nahi
Phir bhi koi pilaaey to main kya karoon
Sirf ek baar nazron se nazrein milain
Aur kasam toot jaey to main kya karoon
Mujho maykash samajhtay hain sab bada-kash
Kyun k unki tarah ladkadhaata hoon main
In ragon mein nasha ye mohabbat ka hai
Jo samajh mein na aaey to main kya karoon
Shouq Peenay Ka Mujko Ziyada Na Tha
Tark-E-Tauba Ka Koi Irada Na Tha
Mujh Pay Tohmat Na Rakh Mein Sharaabi Nahi
Woh Nazar Se Pilaaey To Mein Kya Karoon
Haal sun kar mera sehmay sehmay hein vo
Koi aaya hai zulfein bikheray huay
Maut or zindagi dono hairaan hain
Dam nikalnay na paaey to main kya karoon
Kaisi lat, kaisi chaahat, kahan ki khata
“Bekhudi” mein hai Anwar “khudi” ka nasha
Zindagi ek nashay k siva kuch nahi
Tumko peena na aaey to main kya karoon