To kya woh hum ko her ek jurm ki saza de ga

To kya woh hum ko her ek jurm ki saza de ga
phir apne rahm o karam ka sabout kya de ga

main roz e hasher ka qayal houn phir bhi hansta houn
ke ek banda khuda ko hisab kya de ga

bus ek shoula jala do kisi sadaqat ka
zamana app hi sadioun talak sada de ga