To kia tumhain main kabhe yaad he nahi aya

to kia tumhain main kabhi yaad he nahi aya
kisi gulaab ko tehne say torr kar bhe nahi

subuk kalayi main gajray kabhi pehentay huay
gulaab hathon pe mehndi kabhi lagatay huay
safaid dodhya anchal ko zard rangtay huay
gulaal maltay huay, choryan pehentay huay
chamaktay mathay pe bindya kabhe sajatay huay
subah ko dair tak uth k ayenay ko taktay huay

TO KIA TUMHAIN MAIN KABHE YAAD HEEEE NAHIIII AYA
kisi kabotar-e-gardan ko dekh kar bhi nahi

kabhe diyaa kisi dargah main jalatay huay
kisi dukaan pe sarhee pasand kartay huay
lachakte shakh pe pehla gulab lagtay huay
kabhi yonhi kisi makhsoos dhun ko suntay huay
kabhi kabhi yonhi koi kitaab parhtay huay
barastay abar me chat pe kabhi nahatay huay
khud apnay jism say yonhi kabhe lajatay huay
kisi sahaile say hanstay samay lipt’tay huay
kisi khayal main baithay say uth k chaltay huay
kisi bhi raat ko uth kar yonhi tehaltay huay
akailay dour talak khamoshi me chaltay huay
khala main zaat ke be asra bhataktay huay
kisi pahar pe tanha sanbhal k charhtay huay
utartay chand ka mojon main aks partay huay
libaaas pe khushboo koi lagatay huay
khizaaan main sokhtay patton ka shor suntay huay
mitay huay say darakhton pe naam parhtay huay
kisi bhi roz yonhi ghar k kaam kartay huay
azaan hotay he anchal say sir ko dhaktay huay

TO KIA TUMHAIN MAIN KABHEEE YAAD HE NAHI AYAA

kisi gulab ko tehni say torr kar bhi nahi
kisi kabotar-e-gardan ko dekh kar bhi nahi
kisi darakht k sayay main beth kar bhi nahi
to kia tumhain main kabhi yaad he nahi aya

Re: To kia tumhain main kabhe yaad he nahi aya

A bit long but :k:

Re: To kia tumhain main kabhe yaad he nahi aya

Zabardast.
Kya baat hai, kya cheez parrhaai hai. Aaha
Cool selection !!!
:-)

Re: To kia tumhain main kabhe yaad he nahi aya

**Wah...

Main soch bhee Nahi sakti thee kay yeh nazm mujhay yahan mil jayegi...

In 1996, Khalilullah Farooqi used to host a shaeri show from midnight till four in the morning on FM100. I used to listen to it while trying to unwind myself and catching up on work.

It mesmerised me, the words, each line hitting one after the other. I so wanted this nazm, but could never find it.

Deadsoul. Thanks so much. You have made my day!!!

Shukran

Fara

**

Re: To kia tumhain main kabhe yaad he nahi aya

wah…kya baat hai…bohat khoob:k:

Re: To kia tumhain main kabhe yaad he nahi aya

hmmm shukran:)
ya khalil sahab knows how to handle listners and thanthis nazm goya "JALTI PAY TAIL" mere pass us prog ki recording bhi thi jiss me farooqi sahab nay yeh nazm sunayi thi but i lost ma laptop but thx GOD i memorized this nazm but still me khalil sahab ko buhat miss karta ho yaha 2 saal say un ka koi prog nahi suna
any wayz thx

Re: To kia tumhain main kabhe yaad he nahi aya

Deadsoul... He is a great presenter! I miss Pakistan and one of the things that I miss the most is that beautiful time.

Re: To kia tumhain main kabhe yaad he nahi aya

:k:

Re: To kia tumhain main kabhe yaad he nahi aya

awesome !!!

Re: To kia tumhain main kabhe yaad he nahi aya

fantastic
buhat khoob

Re: To kia tumhain main kabhe yaad he nahi aya

ya its rite we misss pakistan and that time toooooooooooooooo much

yeh daulat bhi laalo yeh shuhrat bhi lelo
bhalay cheen lo mujh sya mere jawani
magar mujh ko lauta do bachpan ka sawan
wo kaghaz ki kashti wo barish ka pani

i know its filmi but its perfect 2 express my feelings

Re: To kia tumhain main kabhe yaad he nahi aya

I was missing this Nazm...

Re: To kia tumhain main kabhe yaad he nahi aya

koi seher hai is nazam me it always makes me cry