**
Tum mujhay bhoolna chaho bhi to
Tum mujhay bhula na paao gai
Tum her halky see aahat per
Chonk chonk jaao gai
Kabhi maanoos khushboo ko
Tum apnay gird paao gai
Kabhi apnay hee saaye sai
Tum ghabra sai jaao gai
Aor phir jub saawan aye ga
GhataiN khoob barsaiN gee
To maray piyar ki barsaat
TumhaiN phir yaad aaye gee
TumhaiN kitna taRpaaye gee…!
To apnay nainoN ki rim jhim ko
Kaisay rok paao gai…
Tum is maiN doob hee jao gai….!!
Aor jub bahar aaye gee
Phool muskaraiN gai…
Tumhara dil bhee janam
KahiN na chain paaye ga
Her aik phool main tum ko
Mara chahra nazar aaye ga
To kaisay bhool pao gai……….!!!**