Charhaa Shairi Ka Jo Hamm Ko Bukhar
To Dee Ham Nay Sab Dil Kee Garmi Utar
Ha Jo Kuch Bhi Ha Shukr-e-Parwardigar
Ha Doctor Ki Tankhowah Faqat Chay Hazar
Uthaya Qalam Kar Diya Sab Raqam
Haqaiq, Masaib, Ba Soorat Nazam
Ha Shokhi Kay Wrapper Ma Dil Ka Ghubar
Ha Doctor Ki Tankhowah Faqat Chay Hazar
Overseas Say Baat Aaeee Yahaan
Ha Doctor Ki Achi kamaee Wahan
Clifton Say Koodain Samandar Kay Paar
Ha Doctor Ki Tankhowah Faqat Chay Hazar
Meri Mano Tou M.B.A Kar Lo Tum
Agar Jee Ma Aey C.A. Kar Lo Tum
To Youn To Na Ho Gay Zaleel Aur Khowar
Ha Doctor Ki Tankhowah Faqat Chay Hazar
Foriegn Items Ka Fareefta Hoon Ma
Faqat Imported Shay Khareedta Hoon Ma
Kay Shopping Pay Jata Hoon Lunda Bazar
Ha Doctor Ki Tankhowah Faqat Chay Hazar
Suno Baat Meri Hoon Sach Keh Riyya
Bhartee Ka Hain Moonchain Criteria
Police Ma Ho Bhartee Bano Thanaydar
Ha Doctor Ki Tankhowah Faqat Chay Hazar
Basoan Ma Hain Latkay Yeh House Officer
Kisi Kay Baghal Ma Kisi Ka Ha Sar
Sab Aatay Hain “1-D” Ma Ho Kar Sawar
Ha Doctor Ki Tankhowah Faqat Chay Hazar
Yahan Residency Jo Karna Paray
Na Damri, Na Kori, Na Thainga Milay
Yeh Ha Doctoroan Kay Diloan Ki Pukar
Ha Doctor Ki Tankhowah Faqat Chay Hazar
Sawairay Sawairay Jo Aata Ha Woh
To Ghar Doosray Din Hi Jata Ha Woh
Yeh Hain Night Duty Kay Ooqat-e-Kar
Ha Doctor Ki Tankhowah Faqat Chay Hazar
Jab Night Ma Duty Lagaoo Gay Tum
To Matlab Khood Hi Samajh Jaoo Gay Tum
Ha Kia Cheez Gardish-e-Lail-o-Nahar
Ha Doctor Ki Tankhowah Faqat Chay Hazar
Dafa Kar PLAB, MLE, FCPS
Too Ban Ja Munna Bhai MBBS
Too Ja Zor-e-Bazoo Say Qismat Sanwar
Ha Doctor Ki Tankhowah Faqat Chay Hazar
Bacho! Doctor Doctor Jo Khailna Kabhi
To Us Ma Bhi Doctor Na Banna Kabhi
Kay Behtar Ha Doctor Say Banna Beemar
Ha Doctor Ki Tankhowah Faqat Chay Hazar
Haseena Say Aik Ham Nay Kee Dil Lagi
Munh Apna Bana Kar Woh Kehnay Lagi
Ma Ahmaq Nahi Kay Karoon Tujh Say Piyar
Ha Doctor Ki Tankhowah Faqat Chay Hazar
Rishta Lay Kay Amma Ghar Un Kay Gaeen
Un Ki Ammi, Amma Say Kahnay Lageen
Kay Bitya Kay Aatay Hain Rishtay Hazar
Ha Doctor Ki Tankhowah Faqat Chay Hazar
Zamanay May Abb Ho Gi Publicity
In Every Villiage and In Every City
Basoan Par Likhay Jain Gay Yeh Ashaar
Ha Doctor Ki Tankhowah Faqat Chay Hazar
![]()