Kitna sehal jana tha
khusboun ko chho lena
baarishon ke moosam mein shaam ka har ek manzar
ghar mein qaid kar lena
roshni sitaron ki muthiyoun mein bhar lena
kitna sehal jana tha
khusboun ko chho lena
jugnoun ki baaton se phool jaisey aangan mein
roshni si kar lena
iis ki yaad ka chehra khawabnaak aankhon ki
jheel ke gulaboon per dare tak saja rakhna
kitna sehal jana tha
aye nazer ki khush fehmi! iis tara nahi hota
**" titliyan pakerney ko dour jana parta hai "