Tishnagi

Tishnagi ko puucho tu jaano ge
ye na pani hai aur na pathar hai

mein tishnagi huun jo thehra hua huun sehra mein
ke hota mauj-e-darya tu behgaya hota

By: Tasawwur Sahab

Re: Tishnagi

jab se uth ke aaya huun tishnagi ke manzar se
mujh ko dar nahi lagta ab kisi samandar se

Re: Tishnagi

Very Nice!

Re: Tishnagi

wah

Re: Tishnagi

hamare khwaab mein darya ko le ke mat aana
ke saer karne wahaan tishnagi bhi aati hai

Re: Tishnagi

Tishnagi aankhon main aur darya khayalon main rahay
hum nawa-gar khush rahay jaisay bhi haalon main rahay


being lonely

Re: Tishnagi

khushk honton per jo guzri hai wo tum bhi dekh lo
uss ke aage maajra-e-tishnagi parde mein hai

Re: Tishnagi

jaatay jaatay woh mujhay achi kahani day gaya
umr bhur dohraaoonga aisi kahaani day gaya

khiar main piaasa raha pur us nay itna to kia
meri pulko ki kinaaro ko woh paani day gaya

us say main kuch pa suko aisi kaha umeed thi
ghum bhi woh shayud bara-e-mehurbaani daygaya