*
Gaye mousam maiN jo khiltay thay gulabooN ki tarha
Dil par utray gay woHi khuwaaB aza’bon ki tarhA
Rakh kay dheer par aB raat basar karni hai
Jal chukay haiN meray khemay, meray khuwaboon ki tarha
Woh samandaR hai to phiR rooh ko shadaB karay
Tishnagi kyu Mujhay deta hai sarabooN ki tarha
Ghair mumkiN hai teray ghaR kay gulabo-N ka shumaR
Meray rastay huway zakhmon kay hisabo-N ki tarha
Yaad to hongi tujhay woh batain ab bhi lakin
Self main rakhi huwi kitaboon ki tarha
** kon janay kay naye saal main tu kis ko parhay
Tera meyar badalta hai nisabo-n ki tarha**
Shokh hojati hai ab bhi teri ankhooN ki chamak
Gahay ga’hay, teray dilchasp jawaboon ki tarhA
Hijr ki shub, meri tanHaye pay dastaK day gi
Teri khushbo, meray khoye huway khua’bo-n ki tarha
Re: Tishnagi kyu Mujhay deta hai sarabooN ki tarha
:k: wah bohat khoob 
eik eik shir zabardast hai… Thanks for sharing
Re: Tishnagi kyu Mujhay deta hai sarabooN ki tarha
[QUOTE]
Originally posted by chand_chehra: *
**Woh samandaR hai to phiR rooh ko shadaB karay
Tishnagi kyu Mujhay deta hai sarabooN ki tarha
Hijr ki shub, meri tanHaye pay dastaK day gi
Teri khushbo, meray khoye huway khua'bo-n ki tarha**
[/QUOTE]
Bohat khoob chando g thanks 4 sharing..:)
Koyal
4
Re: Re: Tishnagi kyu Mujhay deta hai sarabooN ki tarha
ap tu lagta subha k ujalay main be chand ko he taaktey 
nice one chando…
Koyal
6
bohat khoob chand chehra :k:
Amal
8
Re: Tishnagi kyu Mujhay deta hai sarabooN ki tarha
Lovely ghazal CC:k:…thanx for sharing with us:)
chand chehra sisoo boht he achee:)
:k:
count kijiay 2 hee hain, hum aur woh eik aur aap eik, kul huay 2. 
thanko every1 for liking it 