Timepass

Re: Timepass

indeed

Re: Timepass

**waah waah…kia Khaama farsaaii kii haii…zabardast…haN, isii liye to qayaamat nahiiN aa rahii…banda aadmii se seedha momin yaa mutaqqii ban saktaa hai magar har koii insaan nahiiN kiuN k insaan aam log hote haiN :smiley:

aajkal dar-Haqeeqat momin aur mutaqqii to aaTe meN namak ke baraabar bhii nahiiN…kiuN k:

**reesh, jubbe aur dastaar pe na jaaiyo!!! :slight_smile:

Re: Timepass

mere khayal se to mutaqi aur momin hi asal insan hotay hain.. kion ke wo insaniyat ka haqeeqi matlab samajhty hain aur Khuda se dar ke aur us ki mohabat main us ki niyabat ke haqooq achay tareeqay se ada karty hain.. :chai:

khair mera behas ka mood nai :smiley:

Re: Timepass

**aaaawwwww…kia huaa baba? kia qurbaanii ke sirii paaye nahiiN mile khaane ko? :cb:

**vaise, chalo maan lete haiN u kaa farmaan! :smiley:

Re: Timepass

nai main bas bila-wajah behs main nai parna chahti :stuck_out_tongue:

aur maan ke boht acha kia :smiley:

Re: Timepass


**ji ji...jaan bachii laakhoN paaye, buddhhoo raam ghar ko vaapas aaye!

vaise, you ne savaa laakh kii baat laakh men hii bataa dii...thankoo :D**

Re: Timepass

:hehe: bas yehi adat hai meri :snooty:

Re: Timepass

ya’nii, 'aadat se majboor? :cb:

Re: Timepass

aray ap to samajh gaye :stuck_out_tongue:

Re: Timepass


maiN kab samjhaa? maiN ne to ma'soomiyat se ek sawaal poochhaa! :D

Re: Timepass

ye masoomiyat thi? Allah maaf karay :p

Re: Timepass

hehehe…vaise, ma’soomoN ke sar pe seeng to nahiiN hotii…mere bhii nahiiN hai…is liye, mathematically, maiN ma’soom hii huaa na? :cb:

Re: Timepass

mathematics se to aur bhi boht kuch sahi hi hoga :snooty:

aur mainne kabhi kisi jinn ko nai daikha :snooty:

Re: Timepass

aur, dekhogii bhii kaise? vo to hamaarii nigaahoN se posheeda haiN :slight_smile: is meN Allah kii maslaHat hai varna hamaaraa jeenaa dushwaar ho jaataa…har vo jagah maujood hote jahaaN unheN nahiiN honaa chaahiye thaa :wink: :cb:

Re: Timepass

mujy un ko daikhny ka shoq bhi nai hai :snooty:
main khud ko daikh laiti hon yehi kafi hai :stuck_out_tongue:

Re: Timepass

oh achhhaa…to, kabhii aisaa huaa k Khud ko aaiine meN dekh kar Dar gaiui hoN yaa kabhii aaiina u ko dekh ke TooT gayaa ho? :cb:

Re: Timepass

:salam: utho jago poetry walo. :chai:

Re: Timepass

:wsalam:
jaag gey poetry waley
me ki aaj ki free :chai: kahan hai

Re: Timepass

:wsalam: :naraz:

me ko chai do 10 cup

Re: Timepass

Kuch log dur kay marey aaj kul late aatey hain. :hmmm:

:chai: khatam ho gayee hai.