----> TimePass

Re: ----> TimePass

Meharbanii Jee Aap K Chehre Pe Smile Aa Gai Mehnat Wasool Ho Gayi

Re: ----> TimePass

hmmmm. chalo bholi ki yaad main hi kuch likh do :P

Re: ----> TimePass

mujhay shadeed ghusa aa raha hai..... :( lakin logoon ko koi parwa hi nahi hai :(

Re: ----> TimePass

Zindagi Mukhtasar..
Kis Qadar Mukhtasar
Saal Khushyun kay
Pal bhar main beetain yahan
Aaish ka har samaan
Lamha bhar main dhuaan
Ronaqain Mehfilain
Qurbat yaar ki
Jaan-fiza Saatain
Bazm-e-shair-o-adab
Sham-e-Aaish-o-tarb
Raqs-o-Naghmay ki shab
Khatam hotay hi sab
Lamha bhar main baneen
bholi bisri si Mubham si ik Daastan
Khud to Bachpan ki Yaadun say niklay nahi
Or Bach-chay sabhi ho gaey hain Jawan
Aai-nay ka kaha kaisay hum maan lain
Wehshat wohi hai , wohi Shokhiyaan
Zindagi Mukhtasar, Kis qadar Mukhtasar
Zindagi Mukhtasar.........
Kitni Lambi Magar........
kitni Lambi Magar........

Re: ----> TimePass

Aap K Saamnay To Hain Lucky You N HuM Se PocHIYE

Re: ----> TimePass

ap bataiyay :D

Re: ----> TimePass

main nay coconut ko daikha hai yahan :P

Re: ----> TimePass

ye tarup dil main meray kaise hay
koun guzra hay dil ko cheer kay phir
rooh turpi tu aankh bhar aayee
ashk tupkay hain phir meray dil per
kaash dhul jaaye maray ashkoon say
naam tera jo dil pay likha hay
keun sataanay lagi hain bhir mujhko
bholi bisri hoi teri yaadain
Koun hay wo jo tujsa lagta hay
Yaa meri chushm-e-tur ka dhoka hay
jis ki yaadoon kay saath mainay kabhi
rooh ko khaid kardia tha kahian
soye rahti thi bekhodi main wahien
kisnay aaker jaga diya is ko
es ki aah-o-fughaan nahi rukti
kaisey behlaoon kya jatun main karoon
Dil yeh kehta hay aisay jeenay say
Ya Khudaya Main Kaash mer jaoon.

Re: ----> TimePass

Ik tarf-e-tamasha
kabhi dhoop kabhi chaaooN key meley haiN
kabhi bemaqsad parwazeeN haiN
kabhi charooN samt aawazeeN haiN
kabhi tanhaiyooN sey khailey haiN, kabhi sannatey bhi jheely haiN
kabhi idher udher ki bateeN haiN
kabhi bholi bisri yadeeN haiN
kabhi duniya beech akailey haiN

Re: ----> TimePass

very nice :)

AQ nahi hain yahan warna foran unhoon nay poet ka naam pooch lenay thay :P

Re: ----> TimePass

mein kya keh sakta honn

Re: ----> TimePass

bas bas warna bholibisri apna nick change hi na ker lain :D or ap ko apnay nick say lonely hatana par jay ;)

Re: ----> TimePass

uNKo Koi KyA kEh SakTa HAI jo ChAhein PocHEIn :D

Re: ----> TimePass

Being lovely bhi aquire kar he le ga koi na koi

Re: ----> TimePass

:)

Re: ----> TimePass

Subah Subah Poetry

yeh meri deewangi ki hadd thi
ya tumahari mohabbat ka moajzaa
keh phool hooe sare
sang-o-teer-e-zehar khandda
ehbaab-o-zamaane ne
jo meri taraf the daghe...

Re: ----> TimePass

dua hai ap ki ap sunao :)

Re: ----> TimePass

:) achi hai

Re: ----> TimePass

Allah ka shuker hai :)

Re: ----> TimePass

ji kahiye ap ko lagta bholi bohat he yaad a rehi lo main a gaye :slight_smile: