----> TimePass

Re: ----> TimePass

zubaan daraazi-e-aalam par naa jaiyo aye Amal
"iss ziyaaN khaanaY maiN tera imtehaaN hai zindagi "

:halo:

Re: ----> TimePass

Well said…:k: Acha aap ko mera PM mil gaya tha? About point scale? you are satisfied with that?

Re: ----> TimePass

jee mil gayaa thaa aap kaa piyaam, naama bar kaY haath
“kaY daanaa khaak maiN mil kar gul-o-gulzaar hotaa hai”

:phati:

Re: ----> TimePass

Chalye, aap to barrey mood meiN heiN aaj...isi leeye aadha jawaab mil gay aur aadha reh gaya...anyway, hameiN ijazat dijeeye kuch deir ke leeye...mulaqaat hoti hey phir :)

Re: ----> TimePass

meri baat baat maiN
meraY har jawaab maiN
meray hamdam-o-ham-rafeeq
teri har baat kaa jawaab hai
"tera dil tau hai qalam aashna
tujhaY kiyaa millaY gaa jawaab maiN"

:D

Re: ----> TimePass

jo cheez khud ba khud uR jaaye, ussaY hum kaisaY uRaa saktaY haiN Ahmer bhai :smiley:

Re: ----> TimePass

1800GMT :waiting:

Re: ----> TimePass

Umer-e-daraaz maang kar laaye thaY chaar din
dau aarzu maiN kuT gaye, dau intezaar maiN :smiley:

Re: ----> TimePass

Intezaar unka 'abas aye dil-e- mustaaq na kar
who kisi aur ke mehmaan bane baithe hain

Re: ----> TimePass

salam

Re: ----> TimePass

:wsalam: jite rahien khsuh rahien

Re: ----> TimePass

imran bhai kaisya hain ap?

Re: ----> TimePass

salam sayeen kya haal chaal hain ?

aap ne ghazal select karli ?
waisay aap ghazal kam he parhtay hain :)

Re: ----> TimePass

ALLAH ka sukar hay mai theak thaaak hon :) **AAP kese hain **
:)

Re: ----> TimePass

Alahamdu lillah

Re: ----> TimePass

w/salam loner
yara abhi tak koi ghazal select nahi ki

Re: ----> TimePass

aaaj itni khamoooshi kyo hay :bummer:

Re: ----> TimePass

toofan anay ka saar hain

Re: ----> TimePass

imran bhai ki 37k posts
congrats imran bhai

Re: ----> TimePass

^ lolz **
*lag to kuch esa hi raha hay *
**ya phir WEEKEND ka saya parha howa hay :-D