Timepass - October 2013

Re: Timepass - October 2013

ulloo bhii kabhii sote haiN? FaaKhta bhii unhiiN kii biraadarii kaa hai! :slight_smile:

Re: Timepass - October 2013

waise ye Khalil Khan tha kon jo Fakhta uRata tha.. aur uRata bhi tha to kon sa kamaal karta tha?

Re: Timepass - October 2013

:salam: utho jago poetry walo. :chai:

Re: Timepass - October 2013

:wsalam: der se aana jaldi jana, ae sib ye theek nahin

Koi yahan aya tha aj? :hmmm:

Re: Timepass - October 2013

vo to bar-waqt aaye magar apnaa naseeb hii der se jaagaa!

aadaab/tasleemaat! :D

Assalamoalikum
What do you say in response to adaab?

Re: Timepass - October 2013

http://www.paklinks.com/gs/culture-literature-and-linguistics/548229-how-do-you-reply.html

Re: Timepass - October 2013

wa’laukum aadaab! what else? :cb:

usually, aadaab/tasleemaat kahnaa Lakhnauwii nawaaboN kii vaz’a thii aur chuN k pahle salaam kam 'umr yaa kam rutba waale kiyaa karte the lihaaza jawaab meN yeh kahaa jaataa thaa:

“Khush raheN, jeete raheN!” :slight_smile:

Got it :)

Re: Timepass - October 2013


tab Theek hai...mubaarak ho...:) gireh se baandh leN, sambhaal kar rakh leN varna kahiiN gum na ho jaaye! :D

Gireh se baandh li to koi khol ly ga,agar bhool jaun ge to dobara poch lun ge

Re: Timepass - October 2013

lo jii, kar lo gal! ab kia ham ne yahaN “poochh taachh Centre” [Inquiry Office] khol rakkhaa hai? :cb:

ek joke bhii thaa “poochh taachh” par! :smiley:

Re: Timepass - October 2013

idea to acha hy khol lain coaching centre

joke suna dain

Re: Timepass - October 2013

ek banda Railway Station gayaa aur seedhaa inquiry counter par jaa kar kuchh aise sawaalaat kiye:

banda: “bhai saab, yeh Tezgaam Express kitne baje aayegii?”
railway waalaa: “10 baje”

banda: “aur, yeh Shaalimaar Express kab aayegii?”
railway waalaa: “10 baj kar 5 minT pe”

banda: “aur bhaaii saab, yeh Ja’far Express kitne baje aa rahii hai?
railway waalaa: 10 baj kar 7 minT par”

banda: “aur yeh Bolan Express?”
railway waalaa [Ghusse se]: “bhai saab aapko jaanaa kahaN hai?”
banda: “kahiiN nahiiN, mujhe railway line cross karnii hai!” :cb: :smack:

Re: Timepass - October 2013

:hehe: ye to hamari trains k name hain

Re: Timepass - October 2013

to aur nahiiN to kia! ab India waale aise sawaal kareNge kia? :cb: :wink: :stuck_out_tongue: :smiley: :rotfl:

Re: Timepass - October 2013

Kis ne aana tha

gs pe koi rally thi aaj:hmmm:

Re: Timepass - October 2013

babyyyyyyyyyyyyyyyyyy :hbk:

Re: Timepass - October 2013

kiya hua

itna bara moonh kiyon khol rakha hai