Timepass - October 2012

Re: Timepass - October 2012

maiN soyaa nahiiN thaa…baazaar gayaa thaa…kal yahaN storm aane waalaa hai to khaan paan kaa samaan lene gayaa thaa…
**
Hai Khabar garm k aayeNge hawaa ke jhoNke
asbaab moHaiyaa ham ne kiye is vaaste bhaiyaa!** :smiley:

tez hawaayeN aur laa-mutanaahii baarishoN kaa silsila teen rozoN talak kal se shur’uu hone kii tavaqqo hai! :frowning: flooding kaa Dar hai! Allah se du’aa kijiye k yeh baad e tund o baad e baaraaN saath Khairiyat ke guzar jaaye…aameen