aawaaN ke beech emN ek Harf-e-‘noon Ghunna’ bhii hai ya’nii aaNwaa…aaNwe kaa aaNwa hii bigRaa huaa hai kaa matlab huaa k saare ke saare bigRe huye haiN…aaNwaaN kahte haiN kumhaar kii bhaTTii ko jis men vo kachchii miTTii ke bartanoN ko pakaataa hai aag se…bhaTTaa yaa bhaaR…jo bartan ek khep [load] meN pakaate haiN [baking the clay pots] to agar ek bartan Kharaab ho jaaye aur uske saath ke bhii saare bartan KHaraab ho jaayeN to use kahte haiN k aaNwe kaa aaNwaa hii Kharaab ho gayaa…applied meaning hai…Khaandaan ke Khaandaan kaa Kharaab ho jaanaa
are bhai, tum to Allahabad kii ‘shahrii’ [cultured] ThahriiN magar tumko kia pataa nahiiN k Allahabad shahr meN 75% log gaaoN waali zabaan bolte haiN…ya’nii pargana chaaili zabaan…is zabaan meN ‘paawaa’ hii kahte haiN…kia kabhii kisii ko kahte nahiiN sunaa k:
“kaa bhaiyaa paawaa paak hai kaa tumhre ghar maa?”…lol