Timepass-July 2012

Re: Timepass-July 2012

:teary2: uncle nai te kuch nai

Re: Timepass-July 2012

kab tak apni na-kamyion ka ilzam uncle k burhe kandoo per daloo gay … :smilestar:

Re: Timepass-July 2012

kehRi nakami… ye forum LP aur PK ke hawale hai.. ab tumhare hawale waten sathiyo

Re: Timepass-July 2012

:salam: aaj kia rang hai is maHfil kaa? :slight_smile:

Re: Timepass-July 2012

aaj ameer khusro ka rung hai

Re: Timepass-July 2012

haaye, kia yaad dilaa dii...chaandii kaa naashte-daan, rickshaw train aur nai dilli kaa station,! ufff: dil kartaa ahi abhii chalaa jaauuN! :) yaaraa, kuchh bhii ho, watan watan hii hotaa hai chaahe vo Hindustan ho yaa phir Pakistan ho! :) [Aslam raisanii ke ba_qaul! :D]

Re: Timepass-July 2012

aap Aslam Raisani ko beech main na bhi late to hum aap ki baat samajh jate uncle

Re: Timepass-July 2012

hahaha…waah bhateeje, waah! :slight_smile: vo gaanaa sunaa hai:

Re: Timepass-July 2012

nahi suna uncle… itne purane aur ghair maqbool geet maine nahin sune :stuck_out_tongue:

Re: Timepass-July 2012

Watan :(

Re: Timepass-July 2012

Raf’ii saab ke gaane kabhii puraane nahiiN hote aur na hii Ghair maqbool! :smiley: unkii shaan meN gustaaKhii bardaasht nahiiN :cb: :stuck_out_tongue:

sad kiuN? watan kii sair kar aaiye na! :slight_smile:

Re: Timepass-July 2012

Bure gane to khair Mehdi Hassan ne bhi boht gaye hain aur to aur Madam Noorjehan ke kuch gane to sharif families main sunene ki ijazat hain thi… to phir Rafi Sahib ke agar kuch gane ghair maqbool reh gaye ho to kia baRi baat hai :faizy:

Re: Timepass-July 2012

I just did.. phir bhee yaad aa ra hay :(

Re: Timepass-July 2012

sab maaneN magar maiN nahiiN maantaa!!! [ba_qaul shahbaz shareef!] :smiley:

Re: Timepass-July 2012


aawww han watan hotaa hii aisaa hai k jitnaa jaao utnaa lalchaao...watan se yaad aayaa k maiN iA october meN phir jaa rahaa huN! :) :) :)

Re: Timepass-July 2012

:salam:

aaj to yahan shareefon ki mehfil jami hui hai

Is mehfil k karta dharta kon hain???

Re: Timepass-July 2012

Ab hamare hawale watan saathiyon

Kiya movie thi maza aa gaya!!!:smokin:

Re: Timepass-July 2012

:wsalam: haN, aap se to poochhnaa paRegaa k:

**aaj kia rang hai is maiKhaane kaa? **:smiley:

Re: Timepass-July 2012

Jab tak dil jale rahen ge

Maikhane khule rahen ge:smokin:

Re: Timepass-July 2012

Muqawwee ji

Aap Muhammad Rafi ji ko bura mat kahen:emmy:

U don’t know Old is Gold

Bure hogi to Noor Jahan hogi ya Mehdi Hassan

Aap chahen to Zardari Khappay na kahen

Lekin Muhammad Rafi to khappay hi khappay

Muhammad Rafi tu bohat yaad aaya
Woh manzer mere saamne aagaya hai
Jab logon ne tera janaza uthaya:crying::crying: