Timepaas

Re: Timepaas

Ye thread hey ya maatam karney ka adda???? :D

Re: Timepaas

jo jo mrzi samj le

http://www.paklinks.com/gs/attachment.php?attachmentid=2955&d=1297527528

http://www.paklinks.com/gs/attachment.php?attachmentid=2955&d=1297527528

http://www.paklinks.com/gs/attachment.php?attachmentid=2955&d=1297527528

http://www.paklinks.com/gs/attachment.php?attachmentid=2955&d=1297527528

http://www.paklinks.com/gs/attachment.php?attachmentid=2955&d=1297527528

http://www.paklinks.com/gs/attachment.php?attachmentid=2955&d=1297527528

http://www.paklinks.com/gs/attachment.php?attachmentid=2955&d=1297527528

http://www.paklinks.com/gs/attachment.php?attachmentid=2955&d=1297527528


http://www.paklinks.com/gs/attachment.php?attachmentid=2955&d=1297527528

http://www.paklinks.com/gs/attachment.php?attachmentid=2955&d=1297527528

http://www.paklinks.com/gs/attachment.php?attachmentid=2955&d=1297527528

http://www.paklinks.com/gs/attachment.php?attachmentid=2955&d=1297527528

Re: Timepaas


*
Ishq ke nisaab ke
sab asbaaq parh kar
Muhabbat poori
Aur Insaan
Khuda adhoora ho jata hai ...

*

Re: Timepaas

For a change, aaj MM ki kami mehsoos nahi ho rahi…thanx to you :@:

Re: Timepaas

Nice one Arif :k:

Re: Timepaas


*
Batao kaisa lagta hai
Kisi veeraan rastay per
Kisi anjaan rastay per
Kisi ka saath mil jaana
Khushi ke phool khil jaana
Batao kaisa lagta hai
Aur us ke baad phir ek din
Kisi ka yun bichar jaana
Sabhi rangoon ka mitt jaana
Woh band mutthi mein haathoon ki
Faqat kuch rait reh jaana
Batao kaisa lagta hai ...

*

Re: Timepaas

Magar
Khwaab....
Khwaab tu khwaab hote hain
Mere shaour ki aankhoon ne
Jab dekhna seekha tu khwaab nahee dekhay
Khwaab dekhne ki khwaahish
Aur
Us ke azaab dekhay

Muhabbat
Us ka tassavur raushan lagta hai
Magar
Andhere bhar deta hai rooh mein
Weraan kar deta hai dil ki basti ko
Mujh se bhi
Pehla jurm yehi huwa
Mein ne jab likhna seekha tau
Pehla lafz muhabbat likha
Bahut likha
Kaee tarah se likha
Us ki khushboo
Aur us ke tamaam rangoo ko khud mein abaad kiya
Mein muhabbat ki is jang mein
Khoobsurati se bikharna aur marna chahati thee

Mein ne
Woh umer
Apni is zindagi mein bahut talaash ki
Jo titleyoon aur jugno'oun ko muttheyoon mein
Qaid kar ke khush hone ki hoti hai
Gurreyoon se khailne
Aur
Sahiloon per seepeyaan chun'ne se pehlay
Rait ke gharounday banaane ki hoti hai
Magar
Meri zindagi ke samundar per
Na Saahil hai
Na saahiloo ki hawa
Bas rait hi rait hai... rait hi rait
Aur
Hawa ka rait se samjhoota....

Mujhe tu aankhain bachaana theen
Meri aankhoon ne dheroo dhair aansoo dekhay
Magar yeh aansoo mein ne raeygaan nahee jane deye
Girtay rahay
Mere dil ke waseeh sehra mein
Behtay rahay
Thanday aur meethay dharoon ki tarah

Mujhe zindagi karna chaheyey thee
Magar
Kya yeh koi aisi shay hai jo khud ki jaa sakti hai
Zindagi mujh se nahee hosaki
Aur phir mein
Aik had per aa kar ruk gaee
Mein is zindagi ke saath
Is ki shartoo per
Is se zeyada aagay nahee ja sakti thee
Mein ne shaeeri ki
Aur
Apni shart per ki
Jaisi bhi ki

Mujhe is se apne tamaam hi rishtoo per garoor hai
Ke yeh sab kuch mera hai
Mera apna
Us ka nahee
Jo rastoo
Aur
Nehar kinaaray
Aistaada darakhtoo per
Sar-e-shaam
Do namoo ko jor kar
Aik naam banaata hai
Aur
Bhool jaata hai

Bhool jaana
Sach se mukharraf hojaana hai
Kirdaar se khaali hojaana....
Meri saari ki saari tanhaee
Yaad rakhne
aur
Sach bolne ki saza hai

Mujhe kuch nahee bhoola
Zard pholoon ki baarish se le kar
Laho laho karti
Rasmoo aur qasmoo tak
Rawajoon aur samajoon tak

Sach
Jo mera yaqeen hai
Mera emaan hai
Ab
Kai tarah ki batoon
Aur barsatoon ne
Ghair rakha hai mujhe
Mere charoo taraf beshumaar ankhain hain
Aur in mein
Meri aankhain
Meir apni aankhain
Sulaghti
Talash karti aankhain
Talaash karti
Zakham khaati aankhain
Aur mein ne tu kabhi
In aankhoon ko
Jhappak kar bhi nahee dekha
Jaanay kyon
Aik dharka
Aik khadsha
Jahaan mein aankh jhapkoongi
Waheen per haadsa hoga

Tulooh-e-aaftaab ka manzar acha lagta hoga
Magar
Yeh tu shab guzarne per hai naa
Aur
Mujhe tu shab ke guzarne tak
Aankhoon ko chiraag rakhna hai
Mujhe nahee maloom
Mere saath kisay jagna hai
Mujhe tu bas yeh khabar hai
Ke
Mein jaag rahi hoon

Muhabbatain jab shumaar karna
Meri hayaat-o-kainaat ka
Aaeenaa hai
Aaeenaa tu sach boleyga
Aur phir
Mera aaeenaa
Mein apne sach ke leye
Kaheen bhi
Kabhi bhi
Ma'azratt nahee chahoongi

Re: Timepaas

*Mein ne un se badlay lehjay ki wazahat poochi

Kuch dair khamosh rahay

Phir muskura ke bolay

Pagal

Jab lehjay badal jaayain

Tau

Wazahattain kaisi ...

*

Re: Timepaas

What an awesome piece…@ here :slight_smile:

Re: Timepaas

Isko kitaabi shakal meiN chapwaana tha na :@:

Re: Timepaas

ye meri sb se fav. lambi poem hay :-)
aor kitaab ka naam hay
mohabatein jb shumaar karna

Re: Timepaas

IS kuch ziaada hi lambi nahi??? :@:

Re: Timepaas

ji
kam az kam 4 different poem ban sakti hain
but i still love to read it :-) specially Khawab and rait wala part

Re: Timepaas

Amal, bahut shukriya ... :)

*
Aghaaz yun huwa thaa

Us ne ghulab bhaija

Mein ne kitaab kholi

Aur

Us mein rakh diya woh

Sab se ussay chupaya

Anjaam yeh huwa hai

Kuch khushk patteyaan

Thori si hai mehak bhi

Bas aur kuch nahe hai ...

*

Re: Timepaas

Thanx to YOU Arif :) ... this is gone as well :)

Re: Timepaas

*Zindagi per ek kitaab likhunga

Us mein sare hisaab likhunga

Pyar ko wakt-guzaari likh kar

Chaahaton ko azaab likhunga

Huwi muhabbat barbaad kaise

Kaise bikhartay hain khwaab ... Likhunga

Apni khwahish ka tazkira kar ke

Naam us ka 'Jawab' likhunga

Us ki aankhain sharaab ki maanind

Us ka chehra gulaab likhunga

Mein us se judai ka sabab

Apni qismat kharab likhunga ...

*

Re: Timepaas

http://www.deviantart.com/download/175023289/Waiting_for_you_by_ForestGirl.jpg

Suno … Pagal

Khare rehne se kya haasil

Huwa tau bas yehi hoga

Hawain dil jalayengi

Nigahain bheeg jaayengi

Chalo ander chalo aao

Suna hai jo apni marzi se chala jaye

Woh phir

Wapis nahe aata …

Re: Timepaas

its raining out side
:chupki:

Re: Timepaas

Amazing…you are in such an amazing form…you should have played the world cup :slight_smile:

Re: Timepaas

Aaj phir kitni mudatton ke baad
Mein tere shehar ke station per
Jane kab se udaas betha hoon
Jane kya cheez thee ke jis ne mujhe
Yunhi be-sakhta kia majboor
Mein tere shehar ke station per
Jane gari se kyon uttar aaya
Aur phir is jagah utarte hi
Yaad be-sakhta tum hi aaye
Sirf yehi nahe ay jaan-e-hayaat
Kitni baatain yaad aaen hain
Jo ke pehroon mujhe rulaati hain
Woh bhi ayyaam yaad aatay hain
Jab thaa aaghaaz apni chaahat ka
Yaad hai tum hi ne kaha thaa mujhe
Tum tau mera ideal ho
Tum ko Khuda ne mere leye
Sirf mere leye banaaya hai
Yaad hai tum ko ke tum kehti thee
Tum se bichrun tau mein mar jaun
Aur phir haadsa huwa jis ne
Kar diya juda hum ko
Zakhm seh na sake judai ke
Waqt ne zakhm bhar deyey sare
Waqt kitna bara maseeha hai
Dukh tau is baat ka hai jaan-e-hayaat
Itni lambi rifaqaton ke aiwaz
Tum ne bheegi bheegi nigahoon se
Sirf jate huwe kaha thaa itna
Hosake tau bhula mujhe dena
Hosake tau mere sare khat jala dena …