Timepaas

Re: Timepaas

Aap abhi tuk jaag rahein hain. :hayaa:

haath mein danda pakrein, Bistar kay kareeb kharee ho jaein
aur zor say danda sir per marein

neend hee neend. :smiley:

Re: Timepaas

Yeh to aap nay meray nanaa wala ilaaj bataya (ALLAH unhain jannat dey ameen) jab woh mazaaq kertay to yehi kehtay they :omg: Mein bed per hoon and hubs ke kharratay and meri naak mujhe sonay nahi detay

Re: Timepaas

All great people think alike. :snooty:

Re: Timepaas

haan haan keh lein great and garnade people :wink:

Re: Timepaas

:salam: :chai:

Re: Timepaas

:wsalam:

Re: Timepaas

jiti rahien khush rahien
kesi hian aap

Re: Timepaas

wesi he jesay theu kali kaloti :p

Re: Timepaas

mashaALLAH mashaALLAH
ALLAH aap ko achi nazar se bachaiye :mocking:

Re: Timepaas

Azizaan-e-man… :slight_smile: :salam:

Re: Timepaas

walikam salam
jite rahien khush rahien
kese hain aap :-)

Re: Timepaas

:wsalam:

Re: Timepaas

Koyal ji kesi heiN aap??? :)

Re: Timepaas

:chai: Pini hay kesi ne :chai:

Re: Timepaas


یہ عہدِ ترکِ محبت ہے کس لیے آخر
سکونِ قلب اِدھر بھی نہیں اُدھر بھی نہیں

Re: Timepaas

:salam:

kaisey hain aap subbbbbbbbbbbbbbb

Re: Timepaas

:wsalam:
jiti rahoo khush rahoo
kesi ho
and how is ur day passing
hows first day

Re: Timepaas

Wo kehti thi

Mery dil ko mohabat bojh lagti hai
K
Is ki band nagri say
Mujhay kuch khof aata hai
Har ek lamha darata hai
Mujay kuch aisa lagta hai
K is ki naram khamoshi
Meri saansain chura lay gee
Mujay be-bas bana day gee
Mujhay azaad rehna hai
Faqat itna hi kehna hai

Sun k us ki sab batain

Main bus ye bol pata tha

Mohabat qaid rakhti hai
Magar is qaid main reh kar
Jo khushiyan dil ko milti hain
Kahin say mil nahi saktin
K is kin arm zanjeerain
Kabi ghayal nahi kartin
Mohabat aisi manzil hai
K jis k saray raston pay
Wafa ka dars milta hai
Nibah ka dars milta hai
Dilon pay raaj karnay ki adaa ka dars milta hai
Ye her dil ki zrurat hai
Mohabat khubsurat hai…..

Re: Timepaas

*Sab apni zaat ke izhaar ka tamasha hai
Wagar na kon yahan paaniyon pe chalta hai

Tamaam umar ki naghma-garii ke baad khula
Ye shahar apni samaat main sang jaisa hai

Ussay bhi dhang na aaye ga baat kerny ka
Mujhay bhi arz-e-hunar ka kahan saleeqa hai

Mera wajood hai or be-shumaar aankhain hain
Ye saara shahar hai or uss main ek chehra hai

Chatton se dhoop to ruktii hai bukh taltii nahin
Talaash-e-rizq main ghar se nikalna perta hai

Kaha nahin tha tujhay iss ke saath saath na chal
Hawa ke saamnay kis ka chiraagh jalta hai*

Re: Timepaas

*Pathar hi sahi, rah mein haayel to rahon ga
Kuch dair tera mad-e-mukabil to rahon ga

Jb tk teri bakhshish ka bharam khul nahin jata
Aye meri shakhi, mein tera saayel to rahon ga

Is wasty zinda hoon sar-e-maqtal-e-yaraan
Wabasta kam-zarfiyay-e-qaatil to rahon ga

Aye taiz hawa mera dhoowaan dekh ky jana
Bujh kr bhi nishan-e-rah-e-manzil to rahon ga

Dushman hi sahi naam to ly ga mera too bhi
Yoon mein teri awaz mein shamil to rahon ga

Jb tk mein baghawat na kron jabr-o-sitam sy
Zindaan mein hoon paband-e-salasil to rahon ga

Mohsin zad-e-aada sy agr mar bhi gya mein
Mayaar-e-tameez-e-haq-o-baatil to rahon ga...!!!*