Timepaas

Re: Timepaas

apni pasand kaa nahi hona chahiye ke dawai bhi khaa li and mithai bhi :hehe:

Re: Timepaas

MM ronay ke liawa aur koi kaam hai :smilestar:

Re: Timepaas

**
ahyeN? :o … is meN kia buraaii hai? maiN to aksar yehii kartaa huN…miThaaii khaa kar doseage double kar dii…its called a “give N take” practice :)**

Re: Timepaas

aap bhi kaya budhay ahin :bummer: Bin biwi ke burhapa haye ALLAH :smiley:

Re: Timepaas

Aap saray raaz khol dein gee. :emmy:

Re: Timepaas

Wah jee wah dil kush kita wey.

Re: Timepaas

Mera kaam aur hai hi kaya :x2:

Re: Timepaas

**
lo, ab iskaa biwi aur age se kia vaasta? insaan beshak nadeeda aur laalchi aur meeThe kaa shauqeen waaq’e huaa hai. ab yeh baat aur hai k aurteN moTaape ke Dar se is ne’mat e sheereeN se maHroom haiN :D**

Re: Timepaas

Nikki say aap kee shikayat karnee parey gee. :hmmm:

Re: Timepaas

Chalein ab aap ki and ehsan bhai ki mithai band un kaa raaz faash hoa and aap ka bhanda bhi phoot gaya no more mithai for you two :snooty:

Re: Timepaas

nikki to naraz hian aap kaa saath jo diya thaa shairi mein :hehe: aap sey bhi and mujh se bhi baat kahaan sunnay wali

Re: Timepaas

yeh nahin ho sakta… meri rus malai. :yummy:

Re: Timepaas

haan mein ne khaa li hai :stuck_out_tongue:

Re: Timepaas

phir kia mazaa hai jeene meN? :frowning:

Re: Timepaas

ab aap doosray mazay lein namkeen khaanon key :chai:

Re: Timepaas

**
namkeen khaane dekh kar “namkeen chehre” yaad aa jaate haiN to bas phir marne ko dil kartaa hai :omg: to phir end result to vohii rahaa na? jeene ka maza kia jab miThaaii na ho :(**

Re: Timepaas

hain marnay maranay ki baatein kahaan sey aa gayein namkeen ke baghair to maza hi nahi duniya kaa. Chalein batayein agar aap ko din raat meetha khilaya jaaye and pulao ,biryani naa diya jaaye how do u feel? woh kaya naa ji tarah sey

Wajood-e-zan se hai tasveer kainaat mein rang

isi tarah sey

Maaz-e- namak sey hia khanay mein rang :wink:

Re: Timepaas

Joh maza rus malai aur rus gulay mein hai woh namkeen khanne mein kahan. :no:

Re: Timepaas

acha to phir bataayein saara din aap meetha khaa saktay hain kaya :faizy: No salt in anything :asa:

Re: Timepaas

No problem

Rus malai followed by
Rus Gulay
Mixed mithai
and to finish it off Aam. :yummy: