Re: Timepaas
Dopehar dhal rahi hay idhar... baqi nawaab kiya ker rahay hain?
Re: Timepaas
Dopehar dhal rahi hay idhar... baqi nawaab kiya ker rahay hain?
Re: Timepaas
Kon Kon Nawab hain yaha per ![]()
Re: Timepaas
YahaN par aek hi nawaab sahab heiN aur khaasey mashoor heiN :) ... yahein kaheiN bhatak rahi ho gi unki aatma, abhi naazil ho jaeiN ge :D
Re: Timepaas
Aray IS apnay ghar kay sabhi nawaab hutay hain... Qibla Amal sahib woh konsay nayee nawaab hain, zara unkay ruk-e-roshan per kch roshni dalaaiN... hum bhee is graNqadar sahib say muta'arif hooN... balkay yeh saa'dat naseeb hu hamaaiN ...lol
Re: Timepaas
YahaN par aek hi nawaab sahab heiN aur khaasey mashoor heiN :) ... yahein kaheiN bhatak rahi ho gi unki aatma, abhi naazil ho jaeiN ge :D
aaj vo busy hai rooH shaayad is liye Ghaayab hai ;)
Re: Timepaas
aaj vo busy hai rooH shaayad is liye Ghaayab hai ;)
Kaheen Amal aapka zikr-e-khas tu nahi kar rahay thay? lakhnawi nawaab KKF?
Re: Timepaas
aaj vo busy hai rooH shaayad is liye Ghaayab hai ;)
Khawateen-o-hazraat, lijeeye... "tha jis ka intizaar wo shaahkaar aa gaya" :)
Re: Timepaas
Lee jiyee mera tukka sahi niklaaa... ab inaam main kiya mil raha hay?
Re: Timepaas
Kaheen Amal aapka zikr-e-khas tu nahi kar rahay thay? lakhnawi nawaab KKF?
Aesi baat nahi heiN...balkey ye to wo 'khaas shakhsiat' heiN ke jinheiN aap jesey hi yaad kareiN, wo tashreef ley aat heiN. You know what I mean ;)
Re: Timepaas
Nahi hum tu aunties ki saaf main kharay hain... baqool KKF kay lol....
Re: Timepaas
Khawateen-o-hazraat, lijeeye... "tha jis ka intizaar wo shaahkaar aa gaya" :)
ba alfaaz e digar...shaitaan kaa naam liyaa aur shaitaan Haazir? :D
Re: Timepaas
**
aunties kii saf bhi hai koi? hehehe…aajkal kii laRkiyaaN shaadii na hone paane kii vajah se aur uske Gham meN pahle hii shaadii se pahle hii aunTiyaaN lagne lagtii haiN…aur aunties shaadii ho jaane kii Khushii meN laRkiyaan lagne lagtii haiN
hai an? ;)**
Re: Timepaas
KKF lagta hay dopehar ko khanna nahi diyaa aapki bhabi jaan nay... yahi wajah hay kay hum aap ki yeh anokhiii philosophy sun ray hain.... jayain gajar kay halway ka aik chamach kha lain, tabiyaat bushahsh hu jayeegii aahoo...
Re: Timepaas
**
hehehe…waqa’ii aapko lagtaa hai ilhaam hotaa hai…abhi abhi khaayaa hai lunch. gajar ka Halwa Khatm ho gayaa
**
Re: Timepaas
Hayee hayee hayee yeh kiya ghazab kiya KKF... mainay socha tha issi bahanay Sarnia ka chakkar laga loongi :( lekin aap nay zara bhee lehaaz na kiya sb kha liya... :(
Re: Timepaas
salaam…
sub kasay hain ??
![]()
Re: Timepaas
wa'laikum assalaam...Allah kaa karam hai...aap sunaiaye :)
Re: Timepaas
mai bhi bohat achi ho ![]()
kya horha hai? ![]()
Re: Timepaas
**mashaa Allah...maiN bas waqt guzaarii yaa yuN kah len k waqt kii paamaalii kar rahaa huN...ninno raanii kaa intizaar hai jinkaa kahiiN door door ataa pataa nahiiN...
...aaj aapkaa din kaisa guzraa?**
Re: Timepaas
pata nahi…kisi ne thorri der k liye dil khush kia hoga
ye jhoole pe hone wali perjai ko bitha k jhoole diye ja rhe hai na ![]()