Re: Timepaas
samne wale me na lagana us me pani nai hai:omg:
kia ap b roein gi ![]()
Re: Timepaas
samne wale me na lagana us me pani nai hai:omg:
kia ap b roein gi ![]()
Re: Timepaas
**maiN rone nahiiN bal k sone jaa rahaa huN so aap log GS kii rounii bachchii [MM] kaa Khayaal rakhiyegaa…agar roye to use ek blanket aur ek botal doodh kii aur ek adad khilauna de dijiyegaa…agar phir bhi chup na ho to kahiyegaa k beTii so jaa varna Gabbar Singh aa jaayegaa ![]()
Allah Haafiz N shab ba Khair :D**
Re: Timepaas
thanks ![]()
Re: Timepaas
is so cute AMARBAIL my fav SHA,AR hi
Re: Timepaas
Re: Timepaas
inna zor se aawaaz dii k jo maujood bhii rahe hoNge vo bechaare Dar ke bhaag gaye hoNge hahaha
Re: Timepaas
Koi hamaari sunta jo nahi... :( ... aap to haseenaaoN ke jhurmat meiN sey nikleiN to aap ko kuch dikhaai aur sunaai dey :D
Re: Timepaas
**
aye haye! baRaa rashk aaying? aisaa karo…hamaare saath rahaa karo to tumhaare tufail emN ek aadh kaa deedaar hameN bhii naseeb ho jaaye… :sigh: hamaarii qismat emn to bas vohii aunties haiN lol**
Re: Timepaas
Jin sey aap panga letey phirtey heiN, unhoN ney sun lia to kheir nahi aap ki ![]()
Re: Timepaas
**
areeeeeeeeyyyyyyyyyyyyyy aahista bolo bhai…sun liyaa to waqa’ii jaan mushkil meN phaNs jaayegii…vaise, haiN kaun kaun? hehe**
Re: Timepaas
** areeeeeeeeyyyyyyyyyyyyyy aahista bolo bhai...sun liyaa to waqa'ii jaan mushkil meN phaNs jaayegii...vaise, haiN kaun kaun? hehe**
Khalil bhai "girtey heiN shah-swaar hi meidaan-e-jang meiN" ... zara himmat kijeeye :)
Re: Timepaas
ahaaN sahi…himmat e mardaaN, madad e aurtaaN lol ![]()
Re: Timepaas
himmat e mardaaN, madad e aurtaaN
Aap ki harkateiN bataa rahi heiN ke aap ki unhi ke haathoN likhi hey :D
Re: Timepaas
Yahan kiya hu raha hay?
Re: Timepaas
Inshaallah Taala anqareeb Khalil bhai ki thukai hone waali hey. Venue hey Timepaas. Har koi bama ahl-o-ayaal mad'oo hey :)
Re: Timepaas
Aap ko chokidari kay faraiz sonpay gayee hain? sub antiyoon nay phainti lagani hay ba-shamool meray :D
Re: Timepaas
Aap ko chokidari kay faraiz sonpay gayee hain?
Live coverage ke rights merey paas heiN :D
Re: Timepaas
Amal bhai ![]()
Re: Timepaas
Muskaan bachchey kya huwa????