Timepaas

Re: Timepaas

**adab…waah, maiN to bahot adabi huN…adab se baat kartaa huN alhamdolillah. :smiley:

Akbar Allahabadi tanz o mizaaH ke liye jaane maane jaate haiN. ham aksar ash’aar paRhte haiN aur use aasaan samajh kar sarsarii guzar jaate haiN magar un par agar Ghaur kiyaa jaaye to us men aapko gauhar e naayaab mileNge. aisaa hii ek she’r Akbar kaa bhii hai jo nihaayat aasaan hai alfaaz o ma’nii ke ai’tabaar se magar matlab nikaaleN to ek zabardast she’r hai…is she’r meN bhii ek zabardast tanz hai. to phir, aap is she’r kaa matlab bataaiye:

shaiKh saaHib, Khuda se Darte ho?
maiN to angrezoN se hii Dartaa huN!**